Heart attack se hone wali achanak amwaat ke waqiat kyun barh rahe hain?

Also Read

Heart attack se hone wali achanak amwaat ke waqiat kyun barh rahe hain?

Haal hi dinon mein achanak kisi ko dil ka daura parhne yani heart attack ki videos social media par viral hoti dekhi ja sakti hain.

Social media par mukhtalif ilaqon se aane wali ek video mein ek shaadi mein dance karne wala shakhs achanak zameen par girta hua nazar aa raha hai jabke ek doosri video mein ek ladki ek taqreeb mein haath mein gul-dasta uthaye huye achanak gir jati hai.

Ek aur video mein ek shakhs apne doston ke sath chehal qadmi karte huye zameen par gir jata hai.

In waqi'at ke baad Twitter par #heartattack bhi trend hone laga aur log is tarah achanak amwaat par tabsaray aur tashweesh ka izhar karte nazar aaye.

Haal hi mein ek Indian actor Raj Kumar us waqt dil ka daura parhne se inteqal kar gaye jab woh gym mein warzish kar rahe the.

Indian comedian Raju Srivastava bhi gym mein treadmill par bhaag rahe the ke unhein seene mein dard hua aur woh neeche gir gaye. Baad mein doctors ne bataya ke unhein bhi dil ka daura pada tha.

Achanak se pesh aane wale aise cases ko doctor cardiac arrest qarar de rahe hain.

Cardiac Arrest ki Alamat:

Heart attack se hone wali achanak amwaat ke waqiat kyun barh rahe hain?

Dr. O.P. Yadav, India ke National Heart Institute ke CEO aur chief cardiac surgeon hain.

Woh batate hain ke agar aapko apne jism mein koi ghair mamooli alamat nazar aaye to hoshiyaar rahen.
Aisi alamat mein shamil hain:

  • Pet ka dard
  • Pet ke upper hisse mein bhaari pan ka ehsas
  • Isay gas ya tezabiat mat samajhein
  • Seene mein dabao ka ehsas
  • Gale mein kuch phans jane ka ehsas
  • Jism ki kaam karne ki salahiyat mein achanak tabdeeli, jaise ke aap din mein teen manzilen chadhne ke qabil hote the lekin ab thakawat mehsoos karte hain.

Baz auqaat dard ko daant ya gardan ke dard ke taur par nazarandaz kiya jata hai. Aisa nahi karna chahiye. Agar khandan mein kisi ki maut 30-40 saal ki umar mein hui ho ya achanak maut hui ho, to aapko dil ka daura parhne ka khatra barhta hai.

Dr. Viveka Kumar, Max Super Specialty Hospital, Delhi ki senior cardiologist hain.

Woh kehti hain ke aise mareezon ko aadhe ghante ya is se zyada seene mein dard rehta hai. ‘Dard baen haath ki taraf phailta hai aur is ke sath bohot zyada paseena aata hai. Agar is ka barwaqt ilaj na kiya jaye to ye dil ke daure mein badal sakta hai.’

Woh kehti hain ke sirf teen se aath feesad aise cases mein zinda bachne ki umeed hoti hai jo hospital ke bahar waqia hon.

Corona, Vaccine aur Dil ka Daura:

Media mein aisi khabrein bhi aayi ke jin logon ko corona hua aur jin logon ne vaccine lagwayi, un mein is tarah ke ziada cases ho rahe hain.

Dr. OP Yadav aur Dr. Viveka Kumar dono ka kehna hai ke corona ki wajah se jism mein khoon ke jamne ke cases samne aaye hain aur ye lothray phephron, dil, tangon ki ragon aur dimagh mein ban sakte hain. Taham mareezon ko khoon patla karne ki dawaein bhi di gayi hain.

Dr. OP Yadav ka kehna hai ke ye mumkin hai ke aapko haal hi mein COVID hua ho aur uske baad dil ka daura para ho, tab ye kaha ja sakta hai ke dono ke darmiyan koi taluq hai, lekin iska koi saboot nahi hai.

'Lekin aise shakhs mein khoon jamne ka imkan barh jata hai jisko corona ho aur aise halat mein hum mareez ko khoon patla karte hue warzish aur chehl qadmi ka mashwara dete hain. Lekin ye kehna ghalat hoga ke har dil ka daura corona ki wajah se hota hai.'

Dr. Viveka Kumar ke mutabiq corona mein lothray banne ke imkanaat barh jate hain.

Aise halat mein agar ye dil mein ho to heart attack ka imkan barh jata hai aur agar ye dimagh mein chala jaye to brain stroke ho sakta hai.

Aise cases naujawano mein zyada nazar aate hain. Tanao, sigret noshi, sharab noshi bhi is ki waja hain.

Khawateen ke muqable mardon mein zyada cases:

Doctors ka kehna hai ke khawateen mein estrogen hormone hota hai aur mardon mein testosterone.

Jab tak aurat ko mahwari hoti hai, uske jism mein estrogen hormone ki satah bohot zyada hoti hai.

Aisi halat mein jab tak aurat ko mahwari hoti hai ye hormone uski hifazat karta hai lekin baad mein heart attack ka khatra barh jata hai.

Dr. OP Yadav kehte hain ke 45 saal ki khawateen ke muqable mardon mein dil ke doray ke zyada cases hain. Iska ratio 10:1 hai. Iska matlab hai ke 10 mardon ke muqable ek aurat ko dil ka daura parta hai.

Unke mutabiq jaise hi estrogen ki satah girti hai, heart attack ka khatra barh jata hai. 'Iske sath hi 60 saal ki umar mein heart attack ke cases mardon aur khawateen mein barabar ho jate hain. 65 saal ke baad mardon ke muqable khawateen mein heart attack ke zyada cases samne aate hain.'

Aise mein doctor khawateen aur mardon dono ko khoraak aur warzish par tawajjo dene ka mashwara dete hain.

Naujawan khawateen mein dil ka daura parhne ki wajah batate hue Dr. OP Yadav kehte hain ke 'Khawateen ke tarz zindagi mein tabdeeli unhein aisi bemariyon ki taraf dhakel rahi hai. Tambaku noshi, sharab noshi aur safed aate se bani khoraak se aisi bemariyon ka khatra barhne laga hai. Dusri taraf ghar mein rehne wali khawateen warzish par zyada tawajjo nahi deti.'

Gym, Supplements aur Dil ke Daure ka Talluq:

Doctors ka kehna hai ke agar aap achanak gym jana shuru kar dein aur aisi warzish karna shuru kar dein, jin ki aapke jism ko aadat nahi hai, to aapko pareshaani ka samna karna par sakta hai.

Doctors warzish ko batadreej barhane ka mashwara dete hain aur is se pehle medical check-up karwana zaroori hai.

Heart attack se hone wali achanak amwaat ke waqiat kyun barh rahe hain?

Agar aapko paseena ziada aata hai to pani ziada peeyen aur jism mein namkiat ki kami na hone dein. Sharab, tambaku aur manshiat ka istemal bhi sehat ko mutasir kar sakta hai aur khatre ko barha sakta hai.

Dr. Viveka kehti hain ke energy drinks ya pathon ko mazboot banane wale mashroobat ka istemal na karein kyun ke in mein aisi dawaain hoti hain jo aapko mutasir karti hain.

Dono doctors ka mashwara hai ke sirf retirement ke baad hi nahi balke jawani mein bhi apni sehat par tawajju dene ki zarurat hai.

Read More:
Kya ghareeb log dil ki bemariyon ka zyada shikaar hote hain?
Zehni aarze ki dawa ne mera wazan 20 kilogram barha diya
Crédit :- BBC.COM/URDU