Also Read
Tahum baaz scientiston ne haal hi mein ek tehqeeq ki hai jis se neuro science ke baare mein dilchasp malomaat milti hai.
Ye afraad ya to kisi shadeed sadak haadse mein zakhmi ho gaye the ya phir unhein dil ka daura pada tha.
Scientiston ko maloom hua hai ke maut ke waqt insano aur janwaron ka dimagh ek hi tarah kaam karta hai.
Is tehqeeq ka aham maqsad marte waqt na sirf dimagh ki nigraani karna tha balki ye jaan'ne ki koshish bhi karna tha ke kaise kisi ko is ki zindagi ke aakhri lamhat mein bachaya ja sakta hai.
Jo hum pehle se jaante hain...
Hum jaante hain ke marte waqt:
- Jism mein khoon ki gardish ruk jaati hai aur is ki wajah se dimagh mein oxygen ki kami ho jaati hai.
- Ye soorat-e-haal, jise cerebral ischemia kaha jata hai, mein chemical ajzaa kam ho jaate hain, jis ki wajah se dimagh mein 'electrical activity' mukammal tor par khatam ho jaati hai.
- Aisa khayaal kiya jata hai ke dimagh ko thanda karne ka ye amal neurons ke apni taqat ko mehfooz karne ki wajah se shuru hota hai, lekin taqat ko mehfooz banane se kaam nahi hota kyunke marne ka dar phir bhi rehta hai.
- Is sab ke baad tissue recovery namumkin ho jaati hai.
Insano mein:
Lihaza unhon ne baaz mareezeen ke dimagh ki aasabi sargarmiyon ki nigraani ki. Doctoron ki taraf se hidayat di gayi thi ke in mareezeen ko electrode strips waghera ki madad se hosh mein lane ki koshish na ki jaye.
Scientiston ko maloom hua ke nau mein se aath mareezeen ke dimagh ke khuliye maut se bachne ki koshish kar rahe the. Unhein maloom hua ke dimagh ke khuliye aur neurons dil ki dharkan ruk jane ke baad bhi kaam kar rahe the.
Is ke liye khuliye gardish karne wale khoon ka istemaal karte hain aur is se chemical energy aur oxygen hasil karte hain. Scientiston ke mutabiq jab jism mar jata hai aur dimagh mein khoon ka behao ruk jata hai to marne wale neurons bachi hui taqat ko istemal karne ki koshish karte hain.
Electro-mechanical tawazun ki wajah se dimagh ke khuliye tabah ho jaate hain jis ki wajah se thermal energy nikal jaati hai aur is ke baad insan mar jata hai.
Lekin tehqeeq se maloom hota hai ke maut aaj jitni taqatwar hai zaroori nahi ke mustaqbil mein bhi utni hi ho.
Jens Dreier ka kehna hai ke, "Expansional depolarization cellular transformation shuru karta hai aur phir khatam ho jata hai, lekin ye maut nahi, kyunke energy ki supply ko bahaal kar ke depolarization ko ulta kiya ja sakta hai."
ReadMore:
Damagh chakra dene wali tasaveer
Fiza mein zehreeli smog to sarkon par Tehreek-e-Labbaik ka Raaj
Crédit :- BBC.COM/URDU