Also Read
Is tasveer mein aap ko kya dikhai de raha hai? Kya yeh manjmad tasveer hai ya is mein harkat hai? Kya yeh tasveer hi hai ya koi video ya GIF hai?
Asal mein yeh tasveer nazar ka dhoka hai. Is tasveer ko internet par bohot share kiya ja raha hai. Ab tak laakhon afraad ne is tasveer ko share kiya hai.
Sab se pehle yeh tasveer neuroscientist Alice Proverb ne Twitter par share ki thi. Unka maqsad tha ke woh jaan saken ke insani dimagh kaise kaam karte hain.
Dimagh kaise dhoka khata hai?
Alice ne social media par likha hai, "Dimagh dhoka us waqt khata hai jab V4 mukammal hota hai aur V5 apna kaam shuru karta hai."
Lekin Alice ne bajaye yeh samjhanay ke ke yeh tasveer harkat karti hui kyun nazar aati hai, unhone chand mazeed sawalat uthaye. V4 aur V5 kya hain aur inka hamare dimagh se kya talluq hai?
"V5 dimagh ka woh hissa hai jo harkat ko samajhne mein madad karta hai jabke V4 rang aur shakl pehchanne mein madad karta hai."
Unhone mazeed kaha, "Is dohre function ke baais humein yeh dhoka hota hai."
Alice ki tweets par artist Ba Deal ne mazeed tasaveer share ki hain.
Agar aap ko in tasaveer mein koi harkat nazar nahi aa rahi to ain mumkin hai ke aap yeh tasaveer badi screen par nahi dekh rahe.
Fiza mein zehreeli smog to sarkon par Tehreek-e-Labbaik ka Raaj
azai Aloodgi aap ke dimaag mein kya tabdeeliyan la sakti hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU