Also Read
Ek mamooli sa virus ne hamari zindagiyon ko is qadar mutasir kiya hai ke hamara purana mamool ek khwab hi reh gaya hai.
Mazi mein hum ne is se qabal bhi virus ki waba ke khatraat dekhe hain, lekin kabhi kisi naye virus ya flu ki wajah se duniya ka nizam is tarah muattal ho kar nahi reh gaya tha.
Is corona virus se yeh sab kyun ho raha hai? Is mein aisa khaas kya hai jo hamare jism ke liye aur zindagi ke liye bohat bara khatra hai?
Faraib dene wala munfarid virus
Ibtidai marahil mein yeh virus jism ko faraib de sakta hai. Corona virus shayad bohat bari tadaad mein hamare phephron mein aur hamari saans ki nali mein gardish kar raha ho aur phir bhi hamare jism ka difa’i nizam yeh samajh raha ho ke sab kuch theek hai.
Hamare jism ke khale, jab virus ke haathon yarghamal ban jate hain, to interferon kehlane wale chemicals ka ikhraj shuru kar dete hain jo jism ke liye aur uske difa’i nizam ke liye ek intebah hota hai.
Lekin corona virus mein kamaal ki salahiyat hoti hai jo in chemicals ke ikhraj ke nizam ko muattal kar deta hai jo kisi bairooni virus ki mojoodgi ke baare mein intebah ke nizam ko band kar dete hain.
Unka kehna hai ke agar aap laboratory mein bimaar khale dekhain ge to yeh aap ko bimaar yani infected nahi lagain ge, lekin is ke bawajood agar aap apna test karwain ge to yeh khale cheekh cheekh kar keh rahe honge ke inhein infection hai. Aur yeh sirf ek ‘joker card’ hai jo yeh virus khel sakta hai.
Hamla kar ke faraar ho janewala qatil virus
Hamare jism mein virus ki tadaad hamare bimaar mehsoos karne se ek din pehle bohat zyada barh jati hai. Lekin is waqt se pehle ek hafta lag jata hai jab corona virus se mutasir shakhs ko ilaj ke liye hospital le jane ki nobat aati hai.
Is liye yeh virus ek aise driver ki tarah hai jo haadse wali jagah se faraar ho jata hai. Yeh virus apne pehle shikar ke marne ya bimaar nazar aane se kafi pehle doosre shikar ki jaanib rawana ho jata hai.
Yeh 2002 ke SARS corona virus se bilkul mukhtalif hai. Usmein jab koi mutasir hota tha to woh bohat zyada bimaar mehsoos karta tha, is liye unhein quarantine karna aasan tha.
Yeh naya hai is liye hamare jism tayar nahi hain
Kya aap ko pichhli waba yaad hai? San 2009 mein H1N1 tha jise Swine Flu bhi kaha jata tha.
Tahum yeh itna zyada mohalik sabit nahi hua jitna ke khatra tha, kyun ke logon ne pehle hi apne aap ko mehfooz banana shuru kar diya tha. Naya virus un viruses hi se bohot had tak milta julta tha jin ka humein mazi mein samna karna para tha.
Ab tak mazeed char insani corona viruses aaye hain, jo sardi wale flu jaisi aam alamaton ka izhar karte hain.
Unka kehna hai ke is naye virus yani Sars-CoV-2 mein isse ek naya naam dene ke liye yeh naya pan yeh hai ke yeh "aap ke difa’i nizam ke liye bohot hi hairan kun ho sakta hai."
Pehle se jism ke madafati nizam ki tayari ke fuqdan ko Europeans ke America ke bara-e-azam mein cheechak ke virus ko le jane ke waqiyah se mawazna kiya ja sakta hai jis ke bohot hi tabah kun nataij nikle the.
Burhe afraad ke liye naye siray se ek difa’i nizam tayar karna kaafi mushkil kaam hota hai kyun ke un ka difa’i nizam pehle hi sust ho chuka hota hai.
Naye infection ke khilaf madafat peda karne ke liye apne jism ki ghalat aur durust azmaishon ke zariye tarbiyat ki jati hai.
Lekin zyada umr tak pohanchne ke baad hamare jism mein T-khalion ka majmooa kam hota jata hai, jo ke difa’i nizam ka bunyadi juz hota hai, is liye phir iske na hone ya kam ho jane se corona virus ke khilaf difa karna mushkil ho jata hai.
Yeh jism mein munfarid aur ghair mutawaqqa asraat peda karta hai
Covid-19 ka aghaaz phephron ki bemari ke tor par hota hai (halankeh is doran bhi ajeeb o ghareeb ehsas hota hai) aur phir is se poora jism mutasir hota hai.
Woh kehte hain ke yeh virus phephron ke khale tabah karne se bhi zyada nuqsan pohanchata hai, yeh un khale ke mamool ke nizam ko bhi kharab kar deta hai. Khale ke baare mein dekha gaya hai ke ek dosre mein ghulna milna shuru ho jate hain aur un ke majmooi nizam mein kharabi hona shuru ho jati hai aur yeh kharabi der tak barqarar rehti hai.
Professor Giacca kehte hain ke "aap flu ke baad phephron ki ek qisam ki ‘mukammal takhleeq-e-no’ kar sakte hain, lekin Covid-19 ke saath ‘aisa nahi hota hai.’"
Woh kehte hain ke "yeh ek bohot hi makhsoos qisam ka infection hai."
Covid-19 ke doran khoon ke lothray bohot hi ajeeb qisam ke tirchay andaaz se ban’na shuru ho jate hain, jis ke baare mein kai doctors ne apni kahaniyan bayan ki hain ke woh mareez ka sahi ilaj hi nahi kar sake kyun ke khoon ke lothray ban’ne ki wajah se ragein band hona shuru ho gayi.
King's College London ki Professor Beverly Hunt kehti hain ke Covid se mutasir baaz mareezon mein lothray banane wale chemicals khoon mein mamool ki had se "200%, 300% hatta ke 400%" zyada miktar mein dekhe gaye.
Yeh virus baaz mutasireen mein soozish peda kar deta hai jis se difa’i nizam mamool ki had se zyada fa’aal ho jata hai, jis ke nateejay mein is ke nuqsan daih asraat saaray jism par murattib hote hain.
Aur hamara motapa had se zyada hota hai
Agar aap motay hain to phir Covid aap ke liye aur bhi zyada nuqsan daih hai kyun ke ek moti kamar aap ko intehai nigahdaasht ke unit pohancha sakti hai ya halaak kar sakti hai. Yeh bohot hi ghair mamooli baat hai.
University of Cambridge ke Professor Sir Stephen O’Rahilly kehte hain:
"Is ka jo motapay se taluq dekha gaya hai woh doosri viral infection bemariyon mein dekhne mein nahi aya hai. Phephron ki deegar bemariyon ke hote hue motay afraad aam tor par badtar hone ke bajaye, behtar madafat rakhte hain."
Lekin woh kehte hain:"Yeh is (Covid) ke liye bohot hi makhsoos baat hai, yeh shayad flu ki waba ke doran bhi hota hai albata aam flu mein nahi hota."
Motapay ki wajah se jism mein charbi jama ho jati hai, khas kar jigar jaise a’za mein, jis se metabolic nizam mein kharabi peda hoti hai, jo corona virus se mil kar aur zyada kharabi peda karta hai.
Motay mareezon ke jism mein shadeed qisam ki soozish peda hone ke zyada imkanaat hote hain aur protein se khoon ke lothray ban’na shuru ho jate hain.
Read More:
COVID-19: Corona virus ki yeh waba kaise be waqt maut ka sabab ban sakti hai?
Heart attack se hone wali achanak amwaat ke waqiat kyun barh rahe hain?
Crédit :- BBC.COM/URDU