Also Read
Amrood mausam-e-sarma ka phal hai jo apne beshumar fawaid rakhta hai, season ke doran is ka baqaida istemal beshumar bimariyon se bacha sakta hai۔
Amrood Vitamin C, iron, calcium aur fiber se bharpoor hota hai, tibi mahireen ke mutabiq is phal ke patton mein mojood antioxidants aur vitamins jism mein gardish karne wale mudhar free radicals ke nuqsanat se dil ko tahaffuz faraham karte hain۔
Is ki mehak hi khanay ki khwahish barha deti hai aur nashpati ki shakal ka yeh phal sehat ke liye bhi bohot zyada faidamand hai۔
Rozana aik amrood khanay ke chand fawaid darj zail hain:
Qabz se tahaffuz
Amrood ka aik khaas juz fiber hai jo nizam-e-hazma ke liye bohot ahem hota hai, aik amrood se din bhar ke liye darkar fiber ki 12% miqdaar hasil hoti hai jabke is ke beej julab jesa asar karte hain jis se qabz se nijat ya is ki rok tham mein madad milti hai۔
Madafati nizam mazboot banaye
Amrood mein Vitamin C ki miqdaar kaafi zyada hoti hai aur yeh vitamin madafati nizam ke liye bohot ahem hota hai۔
Tahqeeqi reports se sabit hua hai ke Vitamin C se mosmi bimariyon se bachne ya in ka dorania kam karne mein madad milti hai۔
Diabetes ke mareezo ke liye mufeed
Fiber se bharpoor hone ki wajah se yeh phal diabetes ke mareezo ke liye nuqsaan deh nahi hota kyunke is ke khanay se blood sugar ki satah mein tezi se izafa nahi hota۔
Isi tarah is mein mojood fiber blood sugar ko control karne mein madadgar sabit ho sakta hai, albata bohot zyada khanay se gurez karna chahiye۔
Dil ko sehatmand banaye
Amrood se jism mein sodium aur potassium ka tawazun behtar hota hai jis se blood pressure ko control karna asaan ho jata hai۔
Isi tarah yeh phal khoon mein chiknai ya cholesterol ki satah bhi kam karne mein madadgar sabit ho sakta hai jis se amraz-e-qalb se tahaffuz milta hai۔
Binai ke liye bhi faidamand
Is phal mein Vitamin A bhi mojood hota hai jo binai ke liye ahem hota hai۔
Vitamin A se umr barhne ke sath binai mein anay wali tanazuli ka khatra kam hota hai jabke dosray amraz se bhi tahaffuz milta hai۔
Jismani tawanaai mein izafa aur tanau door kare
Amrood mein mojood magnesium se muscles aur asab ko sukoon pohanchta hai jis se din bhar ki masroofiyat ke baad sukoon ka ehsas hota hai, tanau kam hota hai jabke jismani tawanaai barhti hai۔
Jismani wazan mein kami
Amrood khanay ki aadat se metabolism ko behtar banane mein madad mil sakti hai۔
Is phal ko khanay se pait bharne ka ehsas der tak barqarar rehta hai jis se bewakt khanay ki aadat se nijat mumkin hoti hai jis se bhi jismani wazan mein kami lana kuch asaan ho jata hai۔
Barhti umr ke asraat ki rok tham
Amrood mein Vitamin A, Vitamin C aur antioxidants jese carotene waghera ki mojoodgi se jild ko jhuriyon se pak rakhnay mein madad mil sakti hai۔
Hamla auraton ke liye mufeed
Amrood folate ke husool ka acha zariya hai jis se bache mein paidaishi nuqs ka khatra kam hota hai, jabke is mein mojood folic acid bache ke asabi nizam ki nashonuma ke liye madadgar sabit hota hai۔
Dimaghi afaal ko mutaharrak kare
Amrood mein Vitamin B3 aur B6 mojood hote hain jo zehni sehat ke liye faidamand vitamins hain۔
Vitamin B6 se dimaghi tanazuli aur depression ka khatra kam hota hai۔
Muscles ko sukoon milta hai
Is phal mein mojood magnesium sehat ke liye bohot mufeed ghizai juz hota hai۔
Is ghizai juz se muscles aur asab ko sukoon pohanchta hai jis se din bhar ki sargarmiyon se tari honay wali thakaan mein kami aati hai aur tawanaai mein izafa hota hai۔
Jild ko jhuriyon se bachaye
Amrood Vitamin A, Vitamin C aur antioxidants jese carotene se bharpoor phal hai jis se jild ko jhuriyon se tahaffuz milta hai.Yehi wajah hai ke rozana aik amrood khanay se jild ko taweel arsay tak jawan rakhne mein madad mil sakti hai.
Read More:
Bhartii fauji walidain ki beti aaj ki Bollywood super star, janiye kon?
Motapay se pareshaan hain?
Crédit :- BBC.COM/URDU