Rozana kuch miqdaar mein moong phali khane se sehat par kya asraat murattib hote hain?

Also Read

Rozana kuch miqdaar mein moong phali khane se sehat par kya asraat murattib hote hain?

Is mausam mein beshtar afraad moong phali khana pasand karte hain.

Moong phali ko mukhtalif shakalon mein khaya jata hai magar kya is se sehat ko koi faida hota hai?

Beshtar afraad ka manna hai ke moong phali badam, akhrot ya kaju jitni mufeed nahi hoti.

Magar haqeeqat to yeh hai ke mehngi girioun ke muqable mein sasti moong phali sehat ke liye bohot mufeed sabit ho sakti hai.

Ghazai ajza se bharpoor

Moong phali protein, chikanai aur fiber se bharpoor hoti hai aur sab se achi baat yeh hai ke chikanai ki yeh qisam sehat ke liye mufeed khayal ki jati hai jisse cholesterol level kam hota hai.

Is ke saath saath moong phali magnesium, folate, vitamin E, copper, calcium, iron, zinc, phosphorus, vitamin B3, vitamin B1, vitamin B6 aur vitamin B2 ke husool ka bhi acha zariya hai.

Dil ke liye mufeed

Tehqiqi reports se andiya mila hai ke moong phali dil ki sehat ke liye akhrot aur badamon jitni hi mufeed sabit ho sakti hai.

Is ko khane se cholesterol level mein kami aati hai jisse amraz-e-qalb ka khatra kam hota hai.

Isi tarah moong phali ko khane ki aadat blood clots ki rok tham bhi karti hai jisse heart attack ya falij se bachna mumkin hota hai.

Jismani wazan mein kami

Protein se bharpoor ghazain se pait bharne ka ehsas zyada dair tak barqarar rehta hai aur moong phali mein protein ki miqdaar kaafi zyada hoti hai.

Tehqiqi reports ke mutabiq ghiza mein moong phali ko shamil karne se jismani wazan mein izafa nahi hota balke is mein kami aati hai.

Zayabitus ka khatra kam hota hai

Moong phali ko khane se blood sugar ki satah mein izafa nahi hota, is liye aitedal mein reh kar ise khana zayabitus ke mareezon ke liye nuqsan deh nahi.

Tehqiqi reports se yeh bhi sabit hua hai ke moong phali khane se zayabitus type 2 se mutasir hone ka khatra kam hota hai.

Waram mein kami

Moong phali fiber ke husool ka acha zariya hai jisse nizam-e-hazma behtar hota hai aur jismani waram mein kami aati hai.

Cancer ki rok tham

Tehqiqi reports se maloom hua hai ke moong phali ke makhan (peanut butter) ko khane se maide ke cancer ka khatra kam ho sakta hai.

Lambi zindagi

Moong phali ko aksar khane se kisi bhi wajah se maut ka khatra kam ho sakta hai.

Ek tehqiqat mein daryaft hua ke jo log moong phali samait kisi bhi qisam ki giri khane ke aadi hote hain un mein kisi bhi wajah se maut ka khatra kam hota hai.

Agarche is tehqiqat mein yeh wajah to samne nahi aa saki ke moong phali khane se maut ka khatra kam kyun hota hai magar ise mufeed zaroor qarar diya gaya.

Is ke saath saath is vitamin ke istemal se jild ke mukhtalif amraz se mutasir hone ka khatra bhi kam hota hai.

Dimaghi sehat behtar hoti hai

Moong phali khane se dimaghi tanazuli ka khatra kam hota hai.

Ek tehqiqat mein daryaft hua ke moong phali khane se amraz-e-qalb ka khatra kam hota hai aur dil ki sehat behtar hone se dimaghi sehat par bhi positive asraat murattib hote hain.

Note: Yeh mazmoon tibi jareedon mein shaya tafseelaat par mabni hai, qareen is hawale se apne ma'alij se bhi zaroor mashwara karein.

Read More:
Roti sehat ko zyada faida pohanchati hai ya chawal?
Sardiyon mein jild, balon ka khayal rakhne ke 5 gharelu totkay
Crédit :- BBC.COM/URDU