Sardiyon mein jild, balon ka khayal rakhne ke 5 gharelu totkay

Also Read

Sardiyon mein jild, balon ka khayal rakhne ke 5 gharelu totkay

 Sardiyon ka mausam aa chuka hai jismein taateelat aur shaadi byaah ka season shuru ho jata hai.

Sardiyon ke doran har kisi ko naram aaram deh kambalion mein dabak kar garam mashroobat peena, khushk mewon aur sardiyon ki soghaaton se lutf andoz hona acha lagta hai.

Tahum achi cheezon ke saath sardiyan bhi kai masail ko apne saath lati hain jismein khaas tor par jild aur balon ke masail sar-e-fahrist hain. Sardiyon ke mausam mein jild ki sabse badi pareshaaniyon mein se ek hai.

Khushk aur thandi hawa aksar humari jild se nami cheen leti hai, jis se woh rough ho kar phatne lagti hai aur baaz auqat kharish ka sabab bhi banti hai.

Hydration aur jild ki dekh bhaal ka ek acha tareeqa in masail ko kam kar sakta hai, chunancha sardiyon mein khushk jild se bachao ke paanch gharelu totkay hum yahan share kar rahe hain:

Garam pani se nahaana

Thandey thandey mausam mein garma garam pani se dair tak nahaana bohot bhala mehsoos hota hai lekin ye aap ki jild se zaroori nami aur chiknai nikal phenkta hai.

Lihaza maharin tajwez karte hain ke sardiyon mein nahaane ke liye taiz garam ke bajaye neem garam pani ka istemal kiya jaye aur bohot dair tak nahaane se gurez kiya jaye.

Is ke saath saath nahaane ke liye aise sabun ya liquid ko istemal karein jo jild ki nami barqarar rakhein.

Nariyal ka tel

Nariyal ka tel ek qudrati emollient hai jo nami ko barqarar rakhne aur jild ki daraadon ko theek karne mein madad karta hai. Aap nahaane ke baad nami ko barqarar rakhne ke liye nariyal ka tel is waqt istemal karein jab jild abhi bhi thodi nam ho. Is ki anti-bacterial khususiyaat jild ko khushki ki wajah se hone wale infection se bachane mein bhi madad karti hain.

Shehad aur doodh ka mask

Shehad aur doodh aap ke liye hairat angez kaam kar sakte hain, inhein mil kar jild ko narmi se nikalne aur nami bakhshne ke liye milaya ja sakta hai, jo ek komal aur naram ehsas pesh karte hain.

Khoon ki gardish ko behtar banane ke liye inse jild mein ahista se massage karein, aap is ke nateeje mein hasil hone wali jild ki chamak se hairan reh jayenge.

Daliya ka ghusal

Jild ki jalan ko kam karne aur nami se bharne ke liye aap ko sirf ek cup bareek pase hue daliya ko garam ghusal mein shamil karna hai. Daliya anti-soozish khususiyaat se bhara hota hai jo khushki ki wajah se hone wali kharish aur surkhi ko numayan tor par kam kar sakta hai. Nahaane ke baad jild ko thapthapa kar sukhaein aur nami ko mehfooz karne ke liye halka moisturizer lagayein.

Arq-e-gulab aur glycerin

Ek aur aasan gharelu ilaaj gulab ke pani aur glycerin ko milana hai, jis se qudrati toner banta hai. Raat bhar jild ko hydrate rakhne ke liye sone se pehle ise apni jild par lagayein, haathon aur pairon ki daraad ke liye glycerin aur arq-e-gulab hairat angez ajza hain.


Read More:
Hare bhare saag sehat ke raag
Ramzan: Duniya Bhar Se Iftar Ke Dastarkhwan
Crédit :- BBC.COM/URDU