Also Read
Pakistan mein dhuway aur dhund ke milaap ka season shuru hone ke saath hi sarkon par mazhabi jamaaton ka ehtijaaj jaari hai jisme social media par baat ki ja rahi hai ke traffic kam hone se smog ka zor kam hoga ya jalao gherao se yeh mazeed zor pakraygi.
Pakistan ke doosray baray shehar Lahore mein musalsal paanchwin baras ‘smog’ ka mausam laut raha hai.
Dhuway aur dhund ka yeh zehreela imtizaj shehar ki fiza mein mehsoos kiya ja sakta hai. Khadsha hai ke anay walay dino mein is mein shiddat aayegi.
Lekin Lahore mein Asia Bibi ki barat ke khilaf Tehreek-e-Labbaik ka ehtijaaj jaari hai aur is par Benazir Shah ne tweet ki ke Punjab Assembly ke bahar Labbaik ehtijaaj kar rahi hai aur unhon ne paiyah jam ki call di hai. Ho sakta hai ke smog un ke saath ho...
Is par logon ne smog ke maslay ko Tehreek-e-Labbaik se milate hue tweet karna shuru kiya jisme Shehryar Ali Shah ne tweet ki, "Kaash ke smog un ke andar ho..."
Social media par behas to jaari hai lekin Lahore mein smog ke baare mein baat karte hain jahan fazai aloodgi ke is mausam mein shehar ki fiza mein saans lena dushwaar hota hai.
Sooba Punjab ki hukumat smog se bachne ke liye jatan karti rahi hai magar tahal kaamyab nahi ho pai. Haaliya baras smog se hifazati iqdamat par amal daramad ko yaqini banane ka dawa kiya gaya tha.
Punjab ke idara baraye maholiyati tahaffuz ne December tak riwayati eenton ke bhattoon par pabandi aaid kar rakhi hai. Sirf zig-zag technology par bane bhattoon ko chalne ki ijazat hai.
Idaray ke tarjuman Naseem-ur-Rehman ne BBC ko bataya ke dhuwaan chhorrne wali gaariyon aur factories ke khilaf bhi sakht karwai ki ja rahi hai. To in tamam iqdamat ke baad smog kahan se aa gayi?
Naseem-ur-Rehman kehte hain ke ‘Ab ke baar yeh India se aa rahi hai.’ Woh India mein baray paimane par dhan ki fasal ke mundh jalaye jane ke amal ko qasoorwar thehrate hain. Magar woh dhuwaan Pakistan kaise aata hai? Pakistan mein bhi to mudhi jalai jati hai. Kya woh aloodgi ka zariya nahi?
Smog India se kaise aati hai?
Idara baraye maholiyati tahaffuz Punjab ke tarjuman Naseem-ur-Rehman ka kehna tha ke Lahore mein is baar phir smog nazar aana ek qudrati amal hai.
Iski wajah unke mutabiq yeh hai ke Pakistan mein to aloodgi phelanay walay ansar par qaboo karne ke iqdamat kiye ja rahe hain, taham jab tak India mein bhi waise hi iqdamat nahi kiye jate, ‘smog Pakistan mein zaroor aayegi.’
Maholiyati tahaffuz ke maharin ke mutabiq smog ke paida hone mein bara haath is dhuway ka hai jo chawal ki fasal ke mundh ko jalane se uthta hai.
India mein jitne raqbay par yeh mundh jalaya jata hai uska hissa Pakistan ke muqable mein kai guna zyada hai. Naseem-ur-Rehman ka kehna tha ke Pakistan ke qaumi khalai agency SUPARCO ke naqshon se wazeh tor par dekha ja sakta hai ke is dhuway ka bara hissa India mein hai.
Guzishta baras Amreeki khalai idare NASA ke masnoo’ee saaron se li gayi jari karda tasaveer ne bhi is baat ki tasdeeq ki thi.
Mahirin ke mutabiq Pakistan aur India ke shumal mein pahari silsilay waqay hain. Yeh ek deewar ka kaam karte hain. Chawal ke mundh jalane se paida hone wala dhuwaan fiza mein uthta hai, muallaq rehta hai aur jab idhar ki hawa chalti hai to yeh Pakistan mein dakhil ho jata hai.
Jis qadar yeh zyada hoga, utna door tak Pakistan ke andar tak safar karega. Is tarah zyada shehr mutasir honge.
To kya Pakistan India ke reham o karam par rahega?
Is ke liye zaroori hai ke fazai aloodgi ke zaraye maaloom hon. Fazai aloodgi ko naapne wale meter ke zariye na sirf aloodgi ki miqdaar ka andaza lagaya ja sakta hai balke zaraye ka pata bhi lagaya ja sakta hai.
Naseem-ur-Rehman ne BBC ko bataya ke Lahore mein kai maqamat ke ilawa aise meter Gujranwala, Multan aur Faisalabad mein bhi nasb hain. Taham in se hasil hone wale adaad o shumar tahal samne nahi laye gaye.
Idara baraye maholiyati tahaffuz Punjab ke tarjuman ka mazeed kehna tha ke unhon ne Pakistan ki Wazarat-e-Kharja se darkhwast ki hai ke woh Indian hukumat se baat karein. "Un se baat cheet ho bhi rahi hai kyun ke India ke apne liye bhi yeh bara masla hai."
Pakistan khud kya kar raha hai?
Naseem-ur-Rehman ka kehna tha ke smog se bachao ke liye andarooni satah par char iqdamat intehai zaroori hain:
- Riwayati eenton ke bhattoon par pabandi,
- Factories mein baqaida filtration ke alat,
- Gariyon ke dhuway par qaboo pana,
- Dhan ki mudhi jalane ke amal ki rokk tham.
In mein pehle teen par amal daramad karwaya ja raha hai, taham chauthe iqdam mein nataij ke husool mein waqt lagega.
Zig-Zag Bhattay
Naseem-ur-Rehman ka kehna tha ke Bhattay ki Nepal mein istemal hone wali Zig-Zag technology Pakistan mein mutarif karwa di gayi hai. Riwayati bhattay ko hi zig-zag mein tabdeel kiya ja sakta hai. Unka kehna tha ke maqami bhatta malikan ke taawun se nai technology ke istemal ko yaqini banaya ja raha hai.
"Riwayati bhattay ke muqable mein zig-zag bhattay mein indhan yaani coal ki khapat mein 30% tak kami hoti hai jabke is se peda hone wali aloodgi mein 70% tak kami aati hai."
Unka kehna tha smog ka mausam guzar jane ke baad bhi sirf un bhattoon ko chalne ki ijazat di jayegi jo zig-zag technology par muntakil ho jayenge.
Pakistan mein qareeban 20 hazar ke lag bhattay mojood hain. Inhein fazai aloodgi ka bara zariya tasawur kiya jata hai.
Dhan ki Mudhi Talaf Karne ki Machines
Idara baraye maholiyati tahaffuz ke tarjuman ka mazeed kehna tha ke Mehkma Zarat Punjab ko hidayat di gayi hai ke dafaa 144 ke tehat chawal ki mudhi jalane walon ke khilaf karwai ki jaye. Taham unka kehna tha ke hukumat dosray options par bhi ghoro fikar kar rahi hai.
In mein kisanon ko rotavator ya machines ki frahmi bhi shamil hai jin ke zariye chawal ki mudhi ko jalaye bagair talaf kiya ja sakega. Taham is mein waqt lag sakta hai.
"Is mein maali masail aur dosray umoor bhi dekhne hote hain to is mein waqt lagega." Taham Naseem-ur-Rehman ne umeed zahir ki ke hukumat ke iqdamat ki badolat "Is saal smog ki shiddat kam hogi." Abhi bairhaal aghaz hai.
Read More
Fazai Aloodgi aap ke dimaag mein kya tabdeeliyan la sakti hai?
'Behtar yaadasht': warzish dimaag ko sukrnay se kaise roktee hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU