Fazai Aloodgi aap ke dimaag mein kya tabdeeliyan la sakti hai?

Also Read

Fazai Aloodgi aap ke dimaag mein kya tabdeeliyan la sakti hai?

Mumkin hai ke mustaqbil mein juraym roknay ke liye kaam karne wali teamon aur police ke liye shehar mein fazai aloodgi ka andaza lagana zaroori ho jaye. Yeh bhi mumkin hai ke jin ilaqon mein fazai aloodgi zyada ho, wahan zyada security ki zarurat parey.

Yeh kisi science fiction film ki kahani nahi balke ek tazah tehqeeq ke nataij hain jo batatay hain ke yeh afsanawee baatein sach ho sakti hain. Lekin aap soch rahe honge ke aisa kaise ho sakta hai?

Tazah tehqiqat mein samnay aya hai ke fazai aloodgi ka taluq seedha faisla karne ki salahiyat mein kamzori, zehni sehat ke masail, schoolon mein buri karkardagi aur juraym se hai.
Yeh tehqiqat zyada fikr ka sabab is liye bhi hain kyun ke duniya bhar ki nisf se zyada abadi aloodah fiza mein saans le rahi hai.

Almi idara sehat ke mutabiq har 10 mein se 9 afrad khatarnaak satah tak aloodah fiza mein saans lete hain. Kuch andazon ke mutabiq har saal fazai aloodgi ki wajah se duniya bhar mein taqreeban 70 lakh afrad jaan se haath dho baithte hain.

To kya yeh mumkin hai ke marne walon mein jald hi qatal hone walay afrad ko bhi joda jane lage?

Is baat par ghoro fikar karna zaroori hai ke kya is baat ke koi saboot mojood hain?

London School of Economics ke researcher Safi Rath sanah 2011 mein fazai aloodgi ke manfi asraat par ghoor kar rahe the. Unka khayal tha ke sehat par fazai aloodgi ke seedhe asraat ke ilawa hamari zindagi par iske mazeed manfi asraat bhi ho sakte hain.

Unhon ne is baat ko markazi bana kar research ka aaghaz kiya ke kya fazai aloodgi ka hamari sochnay samajhnay ki salahiyat par kya asar par raha hai?
Rath aur unki team ne mukhtalif dinon mein ek hi imtihan dene walay talib ilmon par ghoor kiya. Unhon ne is baat ka bhi khayal rakha ke un khaas dinon mein fazai aloodgi kitni thi. Baqi tamam halat aur imtihan ki tayari ek hi jaisi rakhi gayi.

Unhon ne dekha ke nataij mein bohot wazeh farq tha. Jin dinon fazai aloodgi sabse zyada thi un khaas dinon mein hone walay imtihanat ke nataij sabse kharab aaye. Halaanke jis din fazai aloodgi sabse kam thi us din ke nataij sabse ache the.

Rath ne bataya ke 'hum ne dekha ke jaise jaise fazai aloodgi barhti gayi, talib ilmon ki imtihanat mein karkardagi bhi mutasir hoti gayi.'

Is ke baad Rath ne is baare mein taweel research karne ka faisla kiya. Unhon ne dekha ke agar koi kuch din tak hi fazai aloodgi se mutasir hota hai, magar agar woh us shakhs ki zindagi ka ahem dor hota hai, to uske asraat taweel muddat tak ho sakte hain. Rath ke mutabiq unki ibtidaai tehqeeq mein imtihan mein kharab karkardagi dikhane walay talib ilmon ko kam rank wali universities mein dakhila mila. Sanah 2016 mein samnay anay wali ek aur tehqeeq mein bhi Rath ki tehqeeq ki hami baatein kahi gayi.

Sanah 2018 mein Rath ki team ne London ke mukhtalif ilaqon se juraym se mutaliq do baras ke adaad o shumaar par ghoor kiya. Unhon ne dekha ke London ke maashi tor par kamzor aur taqatwar, dono tarah ke ilaqon mein, zyada fazai aloodgi walay dinon mein mamooli juraym zyada tadaad mein anjam diye gaye.

Yeh sahi hai ke is tarah ke adaad o shumaar ki buniyad par hatmi tor par nataij dena mumkin nahi hai, lekin is taluq ke baare mein samnay anay walay shawaahid ko nazar andaz bhi nahi kiya ja sakta.

Fazai Aloodgi aap ke dimaag mein kya tabdeeliyan la sakti hai?

Fazai aloodgi ke baadal jahan jatay hain, juraym ke imkan barhtay jatay hain

Muhaqqiqeen ne bataya ke aloodgi ke baadal fiza ke rukh ke mutabiq ek jagah se doosri jagah safar karte hain. Aur is tarah fazai aloodgi shehar ke kisi bhi ilaqe tak pohanch sakti hai. Rath ne bataya ke jab unhon ne in baadalon ka peecha karte hue mukhtalif ilaqon mein juraym ke baare mein maloom kiya to pata chala ke jahan yeh baadal jatay hain wahan juraym ki qadar mein izafa hota jata hai.

Rath ka yeh bhi daawa hai ke aloodgi ki woh satah jise Amreeki Maholiati Tahaffuz ki Agency kharab nahi maanti, woh bhi juraym ki qadar mein izafa ke liye kaafi hai. Halankeh Rath ki tehqeeq mein fazai aloodgi aur qatal aur rape jaise ghambeer juraym ke saath taluq nahi dekha gaya, lekin sanah 2018 mein samnay anay wali ek aur tehqeeq ke mutabiq aisa bilkul mumkin hai.

Amreeka ke Technology idare MIT ke Jackson Lu ki sarbarahi mein hone wali ek tehqeeq mein Amreeka ke 900 shehron ke 9 baras ke adaad o shumaar ko shaamil kiya gaya. Is tehqeeq mein dekha gaya ke 'fazai aloodgi ko chay baray juraym se jod kar dekha ja sakta hai' jin mein qatal, rape, dakaity, chori aur jismani hamlay shaamil hain.

Is tehqeeq mein Rath ki tehqeeq ki hami baatein to kahi gayi lekin is mein juraym ke liye zimmedar ansar mein abadi, rozgar, umr aur jins ko bhi bataya gaya. Taham aloodgi ko phir bhi juraym ki sabse bari wajah dekha gaya.

Junoobi California ki University ki Diana Younan ki bara baras tak chalne wali tehqeeq mein juraym ka taluq fiza mein mojood ek khaas zarra 'PM2.5' ke saath dekha gaya, taham unhon ne bhi yahi dekha ke jin ilaqon mein fazai aloodgi zyada thi wahan juraym bhi zyada ho rahe the.

Dimagh mein hone wali tabdeeliyan

Fazai Aloodgi aap ke dimaag mein kya tabdeeliyan la sakti hai?

Dimagh mein hone walay mukhtalif mechanisms se yeh samjha ja sakta hai ke fazai aloodgi dimagh ko kis tarah mutasir karti hai. Lu ne bataya ke sirf yeh khayal hi ke fiza mein aloodgi hai, hamare nafsiyat par manfi asraat daal sakta hai.

Tehqiq kar ne chand Amreeki aur Indian afraad ko be had aloodah shehron ki chand tasaveer dikhain aur un se kaha ke woh in shehron mein rehne ka tasavvur karein. Lu ne bataya ke 'hum ne unhein fazai aloodgi ke asar ke tajurbe se nafsiyati tor par guzarnay ki koshish ki.'

In tasaveer ko dekh kar aur wahan rehne ke tasavvur ne hi un mein bechain jazbat barhne lage aur woh khud ke baare mein zyada sochnay lage. Yeh woh do ehsasat hain jinhein jarehiyat aur ghair zimmedar rawayya se jod kar dekha jata hai.

Lu ne bataya ke 'khud ke tahaffuz ke mechanism ke tehat jab hum bechain hotay hain to hamare haathon kisi par hamlay ke zyada imkan hotay hain, nisbatan us waqt ke jab hum sukoon mein hotay hain. Yani fazai aloodgi mein izafa se bechaini barhne ke saath nuksan deh rawayya mein izafay ke imkanat bhi barhtay jatay hain.'

Unhon ne mazeed tajurbaat mein yeh bhi dekha ke aloodah mahol mein rehne walon mein dhoka dene ka rujhan bhi zyada hota hai.

Taham yeh tehqiqat abhi aghaaz hi samjhi ja rahi hain. Mahireen ka khayal hai ke fazai aloodgi ke baare mein mazeed nuqsanaat samnay aa sakte hain.

Lu ne ise jism mein hone wali tabdeeliyon ke aitbaar se samjhate hue bataya ke jab aap aloodah fiza mein saans lete hain to aap ke jism mein jane wali oxygen ki miqdaar bhi kam hoti hai. Yani aap ke dimagh tak jane wali saaf hawa bhi kam ho jati hai. Is se aap ko naak aur gale mein kharash ke ilawa sir dard bhi ho sakta hai. Aur inki wajah se aap mein tawajjo ki salahiyat bhi kam ho sakti hai.

Aloodgi ke mutadid zarrat se aap ke dimagh mein soojan ho sakti hai. Dimagh ki karkardagi mutasir ho sakti hai. Lu ne bataya ke in wajahat ke sabab dimagh ka woh hissa mutasir ho sakta hai jo jazbat aur khud par qaboo rakhne mein ahem kirdar ada karta hai.

Juraym mein izafa ke ilawa is se zehni sehat bhi mutasir ho sakti hai. Mahireen ka khayal hai ke aloodgi ke asraat ke baare mein behtar aagahi ki shadeed zarurat hai.

Read More:
Neend ki kami se dimaag kaise mutasir hota hai?
'Behtar yaadasht': warzish dimaag ko sukrnay se kaise roktee hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU