Aadhe sar ke dard ko aap se door rakhne mein madadgaar aasan tips.

Also Read

Aadhe sar ke dard ko aap se door rakhne mein madadgaar aasan tips.

Sardard ek bohot aam masla hai khas tor par aadhe sar ka dard ya migraine.

Sardard ke nateejay mein rozmarra ki sargarmiyan buri tarah mutasir hoti hain, migraine ka to abhi koi ilaaj bhi mojood nahi.

Is takleef ke sath kuch bhi karna bohot mushkil sabit hota hai aur kisi ko maloom nahi hota ke iska samna kab ho jaye.

Waise to aap isay mukammal tor par rok nahi saktay magar kuch cheezon ke zariye is takleef se khud ko kaafi had tak bacha saktay hain.

Sun Glasses ka istemal karein

Tez roshniyan har jagah mojood hoti hain aur mutadid afrad ko is ke baais migraine ka samna hota hai.

Agar aap ko roshni se hssasiyat ka masla hai to qudrati aur masnoi roshniyon se sardard ka samna ho sakta hai ya wo takleef badtarin ho sakti hai.

Is khatray ki rok tham ke liye aap sun glasses ka istemal kar saktay hain, yeh tez roshni ke sath sath devices se kharij hone wali neeli roshni ko bhi block kartay hain.

Tanaav se bachein

Aap ko shayad ilm na ho magar migraine ke 70% se zyada cases tanaav ki wajah se samne aatay hain.

Waise to tanaav ko hamesha khud se door rakhna mumkin nahi magar aap is par kaafi had tak qaboo paa saktay hain.

Gehri saansein lene, taza hawa mein chehal qadmi aur deegar mutadid tareeqon se tanaav ki shiddat mein kami lane mein madad milti hai.

Apne mamoolat ka schedule tay karein

Aadhe sar ke dard ke shikar afraad ke liye apne mamoolat ko barqarar rakhna bohot mushkil hota hai.

Magar zindagi ke mamoolat ka koi schedule na hona migraine ki shiddat ko barhata deta hai.

Yeh hi wajah hai ke rozana ke mamoolat ko barqarar rakhna zaruri hai.

Is ke liye sone jaagne ke yaksaan waqt ko mamool banayein, exercise aur khane ke auqat bhi yaksaan hone chahiyein.

Tez khushboo'on ko khud se door rakhein

Kuch khanon ya perfumes ki tez khushboo'en bhi sardard ka baais ban sakti hain.

Magar khushboo'on se bachna hamesha asaan nahi hota magar aap ko apne mahaul se mutabiqat paida karne ke liye tayar karna chahiye.

Agar mumkin ho to coffee ke beej ya chai ki patti ko apne paas rakhein, in ki mehak deegar khushboo'on ka asar kam kar deti hai.

Yani inhein soonghne se aap migraine se kaafi had tak bach saktay hain.

Is maqsad ke liye podina se bani balm ka bhi istemal kiya ja sakta hai.

Exercise karein

Exercise karne ki aadat sardard ki rok tham karti hai aur jism mein aisay chemicals ka ikhraj hota hai jo takleef ka muqabla kartay hain.

Exercise karne se tanaav mein bhi kami aati hai jabke neend bhi behtar hoti hai jis se bhi migraine se bachne mein madad milti hai.

Albata migraine ki takleef ka samna hone par exercise karne se guraiz karna chahiye.

Neend ka khayal rakhein

Neend ki kami ke shikar afraad ko migraine ka samna bhi zyada hota hai aur yeh hi wajah hai ke achi neend ko yaqeen banane se migraine par qaboo pane mein madad milti hai.

Is maqsad ke liye har raat 7 se 8 ghanton ki neend ko yaqeen banayein.

Note: Yeh mazmoon tibi jareedon mein shaya tafseelaat par mabni hai, qareen is hawale se apne ma’alij se bhi zarur mashwara karein.

Read More:
Rozana aik amrood khanay ke fawaid jaan kar aap heran reh jayenge۔
Bhartii fauji walidain ki beti aaj ki Bollywood super star, janiye kon?
Crédit :- BBC.COM/URDU