Also Read
Motapay se pareshaan hain? To jismani wazan mein kami lanay wala asaan tareen tareeqa jaaniye. Jismani wazan mein izafa har aik ko fikarmand kar deta hai aur is se nijat ke liye kaafi koshishen ki jati hain.
Mukhtalif sargarmiyan jaise chehal qadmi, dorna, warzish ya cycling ki madad bhi li jati hai, magar kya aap ko maloom hai ke sirf pani peene se bhi jismani wazan mein kisi had tak kami lana mumkin hai?
Is ki wajah yeh hai ke munasib miqdaar mein pani peena ghiza ko zyada khane se rokne mein madad faraham karta hai jisse jismani wazan mein izafa nahi hota.
Is se hatt kar bhi aisi wajahaat mojood hain jin se andiya milta hai ke pani peena calories ko jalane aur jismani wazan ko control mein rakhne mein madad faraham karta hai.
Pani peene se zyada calories jalti hain
Pani peene se calories jalne ki tadaad barhti hai. Agar aap ko ilm na ho to jaan lein ke calories ko jism taqat ke tor par istemal karta hai.
Tehqiqi reports ke mutabiq baligh afraad mein pani peene ke baad 10 minutes ke andar taqat ke ikhraaj mein 24 se 30 percent izafa ho jata hai aur yeh silsila kam az kam 60 minutes tak barqarar rehta hai.
Zyada jismani wazan wali khawateen par hone wali ek tehqiq mein din bhar mein mamool se 1 liter zyada pani peene ke asraat ka tajziya kiya gaya.
Nataij se maloom hua ke 12 mah ke arsey mein in khawateen ne izafi 2 kilogram jismani wazan kam kiya aur yeh is liye mutasir kun hai kyun ke in khawateen ne zyada pani peene ke ilawa tarz-e-zindagi mein koi tabdeeli nahi ki thi.
Tehqiqi reports ke mutabiq aadha liter pani peena izafi 23 calories jalata hai aur salana buniyadon par yeh tadaad 17 hazar calories ban jati hai ya yun kah lein ke 2 kilogram charbi.
Reports mein andiya diya gaya ke thanda pani peene se yeh nataij behtar ho jate hain kyun ke jab aap thanda pani peete hain to jism ko apna darja-e-hararat barhane ke liye izafi calories jalana parti hain.
Khanay se pehle pani peena ishtaha kam kare
Tehqiqi reports se sabit hota hai ke har baar khanay se pehle pani peena aindah 12 hafton mein jismani wazan mein 2 kilogram tak kami la sakta hai kyun ke is se khanay ki khwahish kam hoti hai.
Darmiyani umr ke motapay ke shikar afraad par hone wali ek tehqiq ko har baar khanay se pehle pani peene ka kaha gaya to un ka jismani wazan khanay se pehle pani na peene wale group se 44 percent zyada kam hua.
Zyada pani peena kam khana mumkin banaye
Pani qudrati tor par calorie-free hota hai to isi liye ise kam calories juzo badan banane se mansoob kiya jata hai.
Tehqiqi reports ke mutabiq jo log doosre mashroobat ke muqable mein pani ko zyada tarjeeh dete hain woh ausat mein din bhar mein 9 percent kam calories juzo badan banate hain.
Pani peene ki aadat se taweel-ul-maiyad buniyadon par jismani wazan mein izafe ki rok tham mein bhi madad mil sakti hai.
Aap ko kitna pani roz peena chahiye?
Beshtar tibi idaron ki janib se ek din mein 8 glass ya 2 liter pani peene ka mashwara diya jata hai.
Magar yeh hatmi nahi balke pani ki miqdaar ka inhisar kisi fard par hi hota hai, misaal ke tor par agar kisi fard ko paseena aa raha hai ya woh warzish karne ka aadi hai to use doosron ke muqable mein zyada pani ki zarurat ho sakti hai.
Mo'ammar afraad aur bachon ko doodh pilane wali khawateen ko bhi pani ke istemal par nazar rakhne ki zarurat hoti hai.
Yeh baat zehan mein rahe ke mukhtalif ghizaon aur mashroobat jaise chai, coffee, gosht, machhli, doodh, phal aur sabziyon se bhi pani jism ka hissa banta hai.
Ek acha usool to yeh hai ke aap ko us waqt zaroor pani peena chahiye jab pyaas mehsoos ho.
Agar aap ko sar dard hai, mizaj bigra hua hai, musalsal bhook ya tawajjo markooz karne mein mushkil ka samna hai to ho sakta hai ke jism mamooli dehydration ka shikar ho aur pani peene se yeh masail hal ho jayein.
Tehqiqi reports se andiya milta hai ke din bhar mein ek se 2 liter pani peena jismani wazan mein kami lanay ke liye kafi hota hai magar is ke saath saath apne tarz-e-zindagi mein tabdeeli lana bhi zaroori hai, warna sirf pani se kuch zyada numayan farq nahi hoga.
Aur haan, bohot zyada pani peene se gurez karein kyun ke yeh bhi mukhtalif masail ka khatra barhata hai.
Note: Yeh mazmoon tibi jareedon mein shaya tafseelaat par mabni hai, qareen is hawale se apne maalij se bhi zaroor mashwara karein.
Read More:
Roti sehat ko zyada faida pohanchati hai ya chawal?
Rozana kuch miqdaar mein moong phali khane se sehat par kya asraat murattib hote hain?
Crédit :- BBC.COM/URDU