Neend ki kami se dimaag kaise mutasir hota hai?

Also Read

Neend ki kami se dimaag kaise mutasir hota hai?

Canada mein scientists ne neend ki kami se dimaag par parhne wale asraat ke baare mein maloomat ke liye aalami satah par ab tak ki sabse badi tehqeeq ka aghaz kiya hai.

Ontario mein 'Western University' ki ek team chahti hai ke is maqasad ke liye duniya bhar se razaakar dimaaghi tajziye ke liye apna online indaraj karwayen.

Is mein khusoosan tayar kiye gaye computer games ke zariye samajh boojh aur faisla saazi jesi maharat ka tajziya kiya jata hai.

Britain ke maruf neuro-scientist Professor Adrian Owen London mein 'Brain and Mind Institute' mein kaam karte hain aur wahi is tehqeeq ki sarbarahi kar rahe hain.

Unka kehna hai: 'Hum sab yeh jaante hain ke kam sone se hum kaisa mehsoos karte hain lekin is baare mein bohot kam maloomat hain ke is ka dimaag par kya asraat murattib hote hain.'

Unka kehna tha ke 'Hum dekhna chahte hain ke neend ki kami humari samajh boojh, yaadasht aur tawajju dene par kaise asar انداز hoti hai.'

Yeh tehqeeqati team computer games ke istemal se milne wale nataij ko ek dosray se mila kar yeh maloom karne ki koshish karegi ke is mein shaamil hone wale logon ne kitni neend li thi.

Kitna sona zaroori hai yeh har shakhs ki apni zarurat par munhasir hai lekin agar kaafi log is tehqeeq mein shaamil hon to mumkin hai ke scientists is se yeh maloomat ikhtiyar kar saken ke dimaag ke mukammal kaam karne ki salahiyat ke liye kitne ghanton ki neend zaroori hai.

Hum apni zindagi ka taqreeban ek tehai hissa sone mein guzar dete hain aur yeh humari zindagi ke liye usi tarah zaroori bhi hai jaise jeene ke liye khana peena aur saans lene ki hawa.

Lekin mojooda dour mein zindagi 24 ghante chalti rehti hai aur is ka matlab yeh hai ke hum pehle se kam sone lage hain.

Guzishta mah is baare mein ek scientific jareeday mein shaya hone wale mazmoon mein is baat ka aitiraf kiya gaya tha ke agar koi neend na aane ke maslay ka shikar ho to yeh maloom nahi hai ke is se dimaag par kya asraat murattib hote hain.

Is mazmoon mein kaha gaya tha ke sanati dour mein logon ki neend mein kami aayi hai aur is par mazeed tehqeeq ki zarurat hai.

Read More:
'Behtar yaadasht': warzish dimaag ko sukrnay se kaise roktee hai?
Kya sardioun mein warzish ya jogging karne se dil ka dorah parhne ka khatra barh jata hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU