Also Read
Ritu Biswas ko do saal qabal achanak neend ki kami ki shikayat rehne lagi aur unhon ne maslay ke hal ke liye doctor se rujoo kiya lekin unke ma’alij ki tajweez karda ‘anti-psychotic’ (zehni aarzoun ke ilaaj ke liye tajweez karda) dawa ne unki sehat ke liye mazeed masail kharay kar diye.
24 saal ki Ritu ka taluq India ke shehar Agra se hai aur unhein ek maqami doctor ne zehni sukoon ke liye kuch dawain tajweez ki thin.
Jab unhein is dawa se bhi farq nahi para to unhon ne ek maahir-e-nafsiyat se rabta kiya. Is doctor ne Ritu mein ‘borderline personality disorder’ (BPD) ki tashkhees ki aur unhein mazeed anti-psychotic dawain tajweez kar di.
Agra se taluq rakhne wali 24 saal ki khatoon ke mutabiq unke gynecologist ne unka muaina kiya aur bataya ke anti-psychotic adwiyat ke istemal ke baais unhein PCOS yani polycystic ovary syndrome ho gaya hai.
Anti-psychotic adwiyat ke khawateen par muzarr asraat
BPD ek zehni aarza hai aur is se mutasir hone wale shakhs ki sehat ko behtar karne ke liye doctor aksar anti-psychotic adwiyat tajweez karte hain.
America ki National Library of Medicine ke mutabiq anti-psychotic adwiyat mardon ke muqable mein khawateen par zyada manfi asraat chorhti hain.
Research ke mutabiq anti-psychotic adwiyat ke istemal ke sabab aksar khawateen ka wazan barh jata hai, jism mein mojood chemical ka tawaazun bigar jata hai, jismani kamzori mehsoos hone lagti hai, sex se dil uth jata hai aur aksar unhein mahovari mein ta’kheer aur chhati barhne jaisi kefiyat ka samna bhi karna parta hai.
Ritu ke saath bhi kuch aisa hi hua. Unka kehna hai ke ‘PCOS ke sath sath in dawain se mera wazan bhi taqreeban 20 kilo barh gaya.’
‘Ek taraf mere liye yeh dawain intehai khatarnak sabit ho rahi thin aur dosri taraf mujhe lahiq zehni marz ko qaboo mein rakhna bhi zaroori tha.’
Kuch doctoron ka kehna hai ke aksar anti-psychotic adwiyat ke manfi asraat itni tezi se zahir hote hain ke unke faiday kahin chhup hi jatay hain.
Maahir-e-nafsiyat samajhte hain ke in dawain ke istemal ki soorat mein samne aane wale muzarr asraat aksar sanjeeda masail mein tabdeel ho jate hain.
Dr. Vishal Chhabra ek maahir-e-nafsiyat hain aur woh kehte hain ke anti-psychotic adwiyat ‘jinsi kamzori aur mahovari mein ta’kheer ka sabab ban sakti hain ya phir inke istemal ke baais kuch mareezeen ki mahovari hamesha ke liye ruk bhi sakti hai.’
Maahireen is mamlay ki bhi tehqeeq kar rahe hain ke mardon ke muqable mein khawateen par anti-psychotic adwiyat ke zyada manfi asraat kyun parte hain.
Senior gynecologist Menu Fazilat ne BBC ko bataya ke ‘jo mareez anti-psychotic adwiyat istemal kar rahe hote hain unke jism mein prolactin barh jata hai aur is sabab unki mahovari mein khalal parta hai.’
‘Jin mareezeen ke jism mein prolactin barh jata hai unhein banjhpan ki shikayat bhi ho sakti hai.’
To iska hal kya hai?
Lekin maahir-e-nafsiyat yeh bhi kehte hain ke anti-psychotic adwiyat ke manfi asraat ka matlab yeh nahi ke zehni aarzoon mein behtari lanay wali in dawain ka istemal bilkul hi tark kar diya jaye.
Dr. Vishal Chhabra kehte hain ke ‘agar in adwiyat ke muzarr asraat hain to humare paas in se nimatne ke tareeqe bhi mojood hain. Jaise ke agar mareez ke jism mein prolactin ki satah barh jaye to anti-psychotic dawa ki khoraak mein kami kar dete hain.’
‘Is tareeqe se anti-psychotic dawa ke sath mazeed adwiyat bhi shaamil kar di jati hain jis se prolactin ki satah bhi nahi barhti aur mahovari mein ta’kheer ya chhati mein jalan bhi khatam ho jati hai.’
Read More:
Rabi Pirzada rishta-e-azdawaj mein munasilik, viral post ki haqeeqat kya?
Vikrant ke retirement ki wajah kya? Sanjay Gupta ne raaz faash kar diya.
Crédit :- BBC.COM/URDU