Also Read
'Sehat mand jism mein sehat mand rooh.' Hum aksar is qoul ka istemal karte hue yeh daawa karte hain ke jismani warzish ke bais insaan ki zehni salahiyaton par kya musbat asraat murattib ho sakte hain.
Yeh qoul darasal ek Roman mazaah nigaar Juvenal ne doosri sadi eeswi mein kaha tha ke yahi dua karni chahiye ke sehat mand jism mein ek sehat mand rooh bhi ho.
Tahamm kya yeh durust hai ke jism ko sehat mand, mutawazan rakhne aur warzish karte rehne se humare dimaag ki zehni salahiyatain bhi barqarar rakhne mein madad mil sakti hai?
Yeh baat durust bhi hai aur is hawalay se scientific shawaahid bhi mojood hain jo is baat ko sabit karte hain aur umar mein izafay par bhi iska numayan asar parta hai.
'Umar mein izafay ke saath dimaag sukr jata hai'
Humare dimaag ki salahiyat bhi kam ho jati hai, kyunke waqt ke saath humare aasab bhi kamzor hote hain aur neurons ka nuqsaan hota hai.
Chahe woh Alzheimer's ki bimari ho ya harkat ki salahiyat mein kami ho, umar ke saath zehni salahiyat mein kami waqe hone lagti hai aur dimaag mein tabdeeliyan waqe hoti hain jo deegar jismani salahiyaton par bhi asar andaz hoti hain.
In tabdeeliyon mein dimaag ke cortical area ka sukrna, surmai neuronal bodies aur aasabi tarseel se mutaliq tissues ka nuqsaan, ventricles ke hajm mein izafa aur neurons ki kami shaamil hai.
Kai barson tak hone wali aik tehqeeq, jis mein razaakarana tor par sekdon afraad ne shirkat ki, mein ilm hua ke umar ke saath aza ki salahiyat mein kami ki aik wajah cerebral ventricle ke hajm mein izafa hai.
Isay dimaag ka 'khaali' hissa bhi kaha jata hai. Is ke bais dimaag ki neurodegeneration aur kamzori bhi barh jati hai.
'Zyada warzish, behtar yaadasht'
Is ka jawab dena aasan nahi hai. Is ki wajah yeh hai ke dimaag ki salahiyat behtar karne ke liye istemal hone wale kisi bhi tareeqay ko parakhna is liye mushkil hota hai ke is ke nataij ka fori andaaza lagana taqreeban namumkin ho jata hai.
Insani dimaag khoon ya phattun jaisa nahi hota ke is mein kisi bhi qism ki tabdeeli fori tor par wazeh ho jaye ya isko naapne ka koi wazeh tareeqa mojood ho.
Tahamm achhi khabar yeh hai ke mojooda dour mein imaging ke behtareen tareeqon ke bais ab dimaag ke kuch hison mein tabdeeli wazeh tor par dekhi ja sakti hai.
Humare paas is baare mein pehle se shawaahid mojood hain ke aik lambe arse tak jismani warzish karne se zehni salahiyat behtar hoti hai aur is se dimaag ke kuch hison ka hajm bhi barh jata hai.
Misaal ke tor par san 2011 mein America ki National Academy of Sciences ke paper (PNAS) mein shaya hone wali aik tehqeeq mein yeh bataya gaya hai ke warzish ke bais dimaag ke is hisay ka hajm barhta hai jo yaadasht ke liye makhsoos hota hai. Za'eef afraad mein hone wali tehqeeq se yeh sabit hota hai ke jismani warzish ke bais dimaag ke is hisay ka hajm kam hone se bhi roka ja sakta hai.
Is ke ilawa, aik aisi hi tehqeeq mein za'eef al-umar afraad ke dimaag par jismani warzish ke asraat jan'nay ki koshish ki gayi hai.
Is se yeh maloom hota hai ke jismani warzish karne wale afraad aam tor par umar barhne ke saath jis degeneration ya inhitataat ka shikar hote hain us se mehfooz rehte hain.
Hum jab apne jism ke baare mein sochte hain to humein lagta hai ke jaise iske mukhtalif hisay hain, aur har uzoo khud hi kaam kar raha hai. Agar humare jigar mein koi masla hai to hum usi par tawajju dete hain, aur agar humare gurday mein koi masla ho to hum us par tawajju dete hain.
Tahamm humara jism aisay kaam nahi karta, balke is mein mojood tamam aza aapas mein jure hain aur ek dosray par munhasir hain.
Yeh hi wajah hai ke jab humare gurday mein masla hota hai to is se dil ka aarza shiddat ikhtiyar kar jata hai, ya jigar ke aarze ke bais dimaghi aarza cerebral ischemia ho sakta hai. Umar barhne ke saath saath jism ke paicheeda nizaam ki soorat-e-haal kaafi naazuk hoti hai.
Jab hum warzish karte hain to hum apne jism ko darmiyani darjay ke dabao mein dalte hain taake hum un khaliyon ko zyada tawanaai paida karne par majboor kar saken.
Is ka matlab hai ke ghizai ajza ko store se phattun tak pohanchana. Is dabao se nibard azma hone ke liye jo jismani tabdeeliyan zaroori hoti hain unhein hormesis kaha jata hai.
Hormesis ke marahil mein phattay aisa maada khaarij karte hain jo doosray aza ko yeh ittila dene ka tareeqa hai ke tawanaai ki maang mein izafa ho raha hai.
Is maaday ko myokines kaha jata hai aur yeh humare khoon mein khaarij hote hain jahan se isay deegar aza tak pohanchaya jata hai.
In mein se kuch myokines dimaag tak pohanch jate hain jahan yeh neurons ki salahiyat mein izafa karte hain ke woh naye rabtay qaim kar saken ya pehle se qaim rabton ko mazeed mazboot kar saken.
In mein se ek myokine BDNF kehlata hai jo neurons ke liye rabta qaim karne ke liye intehai zaroori hota hai aur unhein chust rakhta hai. Yeh ek bohot saada si misaal hai jis ke zariye hum yeh bata sakte hain ke jismani warzish ke zariye dimaag ka hajm kaise barqarar rakha ja sakta hai.
Doosri janib, jismani warzish ke zariye khoon ka bahao bhi behtar hota hai aur jism ko milne wali oxygen mein bhi izafa hota hai. Is se dimaghi salahiyat par musbat asar parta hai.
Isi tarah tehqeeq se yeh bhi maloom hota hai ke mutawazan warzish ke bais soozish kash asraat hote hain jin ke dimaghi asraat ho sakte hain misaal ke tor par Alzheimer's ya dementia sust ho jati hai.
Baraah-e-raast aur balwasita scientific shawaahid yeh baat wazeh karte hain ke umar barhne ke saath warzish karne ke bais dimaghi salahiyat mein kami ki raftaar sust ho jati hai.
Isi liye susti se ghair fa’aal tarz-e-zindagi se ijtinab karna chahiye taake hum sirf zindagi mein mazeed saal hi nahi balke un saalon mein mazeed zindagi bhi shaamil kar saken.
Read More:
Neend ki kami se dimaag kaise mutasir hota hai?
Zehni aarze ki dawa ne mera wazan 20 kilogram barha diya
Crédit :- BBC.COM/URDU