Aditi Rao ne shadi ke liye 'tareekhi qile' ka hi intikhab kyun kiya?

Also Read

Aditi Rao ne shadi ke liye 'tareekhi qile' ka hi intikhab kyun kiya?

Bharti haseena Aditi Rao Hydari ne apni zindagi ki mohabbat Siddharth Suryanarayan ke saath shadi ke liye sirf aur sirf tareekhi qile ‘Alila Fort Bishangarh’ ka hi intikhab karne ki asal wajah bata di.

Aditi aur Siddharth ki mohabbat ka aaghaz:

Saal 2021 mein cinema gharo ki zeenat banne wali film ‘Mahasamudram’ ki shooting ke doran Aditi Rao Hydari aur Siddharth ek dosray ki mohabbat mein mubtala ho gaye, jis ke baad se dono aksar ek saath nazar aane lage lekin apni mohabbat ka kabhi khul kar aitraf nahi kiya.

Baad azan, apni mohabbat ko har nazar se chupaye is joray ne rawan saal mangni kar lene ka ilan kiya tha aur jald shadi karne ki khushkhabri bhi di thi.

Joray ki ghozub shadi:

Aur phir dekhte hi dekhte Aditi aur Siddharth ne 16 September 2024 ko apni shadi ka ilan kar ke apne madahoon ko khushgawar hairat mein mubtala kar diya.

Aditi aur Siddharth ne apni pehli shadi ke liye Telangana ke Wanaparthy mein 400 saal puranay Sri Ranga Nayaka Swamy Mandir mein ek saada aur rivayati taqreeb ka intikhab kiya tha, jo sab ke dil jeetne mein kamyab rahi thi.

Shadi ki dilkash posts:

Taham shadi ke kai mahinay baad ab Aditi humsafar Siddharth ke saath hone wali shadi ki official photos social media ki zeenat banate huay in dinon khoob daad wasool kar rahi hain.

Har guzarte din social media feed par is nayi shadi shuda joray ki shadi ki dilkash jhalkiyan samnay aajati hain jinhain dekh kar na sirf Aditi ke fans khush hote hain balki social media par bhi khoob rounaq lagi nazar aati hai.

Lekin is baat se bhi inkaar nahi ke har dekhne walon ke zehanon mein yehi sawal goonj raha hai ke aakhir Bollywood star ne shadi ke liye is tareekhi qile ka hi intikhab kyun kiya?

Shadi ke qile ka intikhab:

Haal hi mein Aditi ne photo and video sharing app Instagram par post share ki jis mein Heera Mandi ki adakara aur Siddharth ki shadi ke romani manazir shamil the.

Post ke caption mein Aditi ne shandar note bhi likha jo bazahir parhne mein unke shohar aur adakar Siddharth ke naam lag raha tha. Aditi ne likha ke, “Jab maine apni pehli mohabbat ki kahani suni, to main tumhein talash karne lagi, ye jaane baghair ke mohabbat karne walay aakhir kaar kahin nahi milte, woh ek dosray mein hamesha se mojood hote hain.”

Shadi ke liye qile ka intikhab karne ki asal wajah kya thi?

Lagay haathon Aditi ne shadi ke liye is tareekhi qile ka intikhab karne ki wajah batate huay mazeed likha ke, “Ek qile mein kuch jadooai baat hoti hai. Azmat se bharpur, lekin phir bhi mere liye ye romani aur zameen se jurne ka ek be takalluf imtizaj tha.”

Aditi ne is qile ko “jadooai kashish” ka haamil qarar dete huay mazeed likha ke, “Alila Fort Bishangarh ne foran mujhe mere bachpan ki yaad dila di, jab main apne dada dadi ke ghar mein rehti thi. Woh pahadon par chadte huay pechida raste, woh jagah jahan jadoo ho sakta tha, aur woh mera pasandeeda maqam tha, meri jannat. Woh jagah jahan maine apne tamam khwabon ka tasavvur kiya aur umeed ki ke woh sach honge, aur wahan maine apna shehzada paya aur humne apna khwab poora kiya.”

Wazeh rahe ke Aditi ki jaanib se share ki gayi tasaveer mein adakara aur Siddharth dono rivayati libas mein nazar aa rahe the. Shadi ke purmusarrat mauqe par Heera Mandi ki adakara ne surkh lehnga pehna tha, jabke unke shohar ne off-white sherwani mein apne look ko mukammal kiya.

Yaad rahe ke adakara Aditi Rao Hydari ki pehli shadi 2007 mein adakar Satya Deep Mishra se hui thi, taham, joray ne 2013 mein shadi ke 4 saal baad alag ho janay ka faisla kiya tha.

Read More:
Woh mashhoor Bharti adakar jinhnay bohat jald industry say kinara kashi ikhtiyar ki.
Beshter afrad ki pasandeeda woh cheez jo diabetes, dil aur girdon ke amraaz ka shikar banadeti hai.
rédit :- BBC.COM/URDU