Also Read
37 saal ke adakar ne Instagram par post share karte huay achanak apni retirement ka ilan karke sab ko hairan kar diya.
Unhone Instagram par ek note share karte huay likha ke 2025 mein aakhri baar apne madahoon se milunga, pichlay kuch saal yaqeenan ghair mamooli rahay, main madahoon ke bepanah pyaar aur support par aap sab ka shukriya ada karta hoon.
Vikrant Massey pehlay Bharti adakar nahin hain jinhon ne apni jawani mein adakari ko khairbad kaha.
Is tehreer mein hum aap ko aise 6 deegar adakaron ke baare mein batayenge jinhon ne apne career ke urooj ya bohot jald hi film industry se kinara kashi ikhtiyar ki aur ab tak showbiz ki duniya mein wapas nahi aaye.
Imran Khan
Bollywood adakar Aamir Khan ke bhateeje Imran Khan ne 2008 mein romanti comedy film ‘Jaane Tu Ya Jaane Na’ se apne career ka aaghaz kiya.
Is shandar aaghaz ke baad unki kai filmein nakaam ho gayin, 2010 ki film ‘I Hate Luv Stories’ aur 2011 mein ‘Delhi Belly’ mein adakari ki lekin yeh bhi hit na ho saken. Taham, unhon ne 2015 mein film ‘Katti Batti’ ki nakaami ke baad adakari ko khairbad keh diya.
Guzishta saal social media par unki Bollywood mein wapas aane ki khabrein samnay aayi, Imran ne chand interviews bhi diye lekin adakari mein wapsi ka ilan nahi kiya.
Zaira Wasim
Zaira Wasim ne 2016 mein Aamir Khan ki blockbuster film ‘Dangal’ se adakari mein debut kiya. Is film mein unhon ne Geeta Phogat ke bachpan ka kirdar nibhaya tha.
Phir aglay saal Zaira ne Aamir Khan ki ek aur kamyab film ‘Secret Superstar’ mein adakari ki, is film mein unke kaam ki kaafi tareef hui aur awards bhi mile.
Taham, Zaira Wasim ne 2019 mein mazhabi buniyadon par film industry ko khairbad keh diya tha. Unki aakhri film ‘The Sky is Pink’ thi.
Ayesha Takia
Ayesha Takia ne 2004 mein film ‘Tarzan: The Wonder Car’ se debut kiya aur kaafi shohrat hasil ki.
Iske baad unhone ‘Dil Maange More’, ‘Socha Na Tha’ aur ‘Dor’ jaisi filmon mein numayan kar kardagi dikhayi. Iske baad unki filmein zyada kamyab nahi ho sakiin.
Lekin phir Ayesha 2009 mein Salman Khan ki blockbuster film ‘Wanted’ mein nazar aayi aur khoob daad mili. Taham Ayesha ne phir shadi karli aur 2011 mein chand nakaam filmon aur 2012 mein ek talent show ki mezbani ke baad showbiz industry chhor di.
Gayatri Joshi
Gayatri Joshi ne 2005 mein Shah Rukh Khan ki film ‘Swades’ mein debut kiya aur kaafi shohrat hasil ki.
Dilchasp baat yeh hai ke Gayatri ne sirf ek film mein adakari ki. Film ‘Swades’ ke foran baad unhone Vikas Oberoi se shadi karli aur filmon se retire ho gayin.
Asin
Asin ne 2001 se 2007 tak kai Malayalam, Telugu aur Tamil filmon mein kaam kiya lekin 2008 mein Aamir Khan ki super hit film ‘Ghajini’ se Bollywood mein debut ke sath woh shohrat ki nai bulandiyon par pohanch gayin.
Unhone phir film ‘Ready’, ‘Housefull 2’ aur ‘Bol Bachchan’ jaisi kamyab filmon mein bhi kaam kiya.
2015 mein Asin ki aakhri film ‘All is Well’ rahi, jis ke baad unhone 2016 mein Micromax ke co-founder Rahul Sharma se shadi karli aur filmon se kinara kashi ikhtiyar karli.
Shalini Ajith
Shalini, jinhain ‘Baby Shalini’ ke naam se jana jata tha, ne apne career ka aaghaz 1983 mein Malayalam film se kiya aur Best Child Artist ke liye Kerala State Film Award jeeta.
Unhone Telugu aur Tamil film industry mein bhi kaam kiya aur 1997 mein markazi adakara ke tor par filmon mein nazar aayi.
Taham chand saal baad Shalini ne adakar Ajith se shadi ki aur adakari ko hamesha ke liye khairbad keh diya.
Read More:
Beshter afrad ki pasandeeda woh cheez jo diabetes, dil aur girdon ke amraaz ka shikar banadeti hai.
Aadhe sar ke dard ko aap se door rakhne mein madadgaar aasan tips.
Crédit :- BBC.COM/URDU