Also Read
Anjeer Apne Andar Insani Sehat Ke Liye Bohat Mufeed Asraat Rakhti Hai Jannat ka mewa kehlane wali anjeer ko chahe dry karke khaya jaye ya taza phal ki surat mein, iske andar mojood beshumar vitamins, minerals aur fiber sehatmand aur tawana rakhne mein har surat mein madadgar rehte hain.
Anjeer ka phal darasal shehtoot ke khandan se talluq rakhta hai. Iska anokha meetha zaiqa deegar phalon se qadray mukhtalif hota hai.
Anjeer ko taza halat mein khaya jaye to chabanay mein naram mehsoos hoti hai aur khurdani beejon se bharay hone ke baais danay daar aur krkri (crunchy) hoti hai.
Taza anjeer naazuk hoti hai aur zyada arsay tak rakhi nahi ja sakti. Is liye inhein mehfooz rakhne ke liye aksar dry kiya jata hai. Aur agar ise sukha kar istemal kiya jaye to is se ek aisa meetha aur ghizaiyat se bharpoor dry mewa nikalta hai jis se sara saal lutf uthaya ja sakta hai.
Anjeer ki mutadid qisamain hain jin mein se sabhi rang aur saakht mein ek doosray se mukhtalif hoti hain.
Inki munfarid khasiyat ek chhoti kali ki tarah iska khilna hai. Iske ooperi hisay mein ostiole (ostiole) kehte hain jo phal ki nashonuma mein madad karta hai. Anjeer ki qudrati mithas ko refine chini se pehle meethay ke tor par istemal kiya jana aam tha.
Agar aap apne pait ka nizaam behtar rakhna chahte hain to apni ghiza mein anjeer ka istemal karna shuru kar dein. Iski khasiyat mein se ek hazme ko behtar karna hai kyun ke is mein qudrati fiber ki bari miqdaar shamil hoti hai.
Mahireen ke mutabiq ye anti-oxidant khasiyat ki haamil hoti hai, is se buland feshaar khoon ya blood pressure ko control rakhne mein madad milti hai. Hadion ki mazbooti ke liye is mein minerals ki bari miqdaar shamil hoti hai jab ke ye wazan ko control karne aur nizaam e hazm ko behtar rakhne mein bhi madadgar rehta hai.
Anjeer kin logon ke liye mufeed hai aur ise kis surat mein ehtiyaat se istemal karna chahiye, is mazmoon mein inhi baton ka ihata karne ki koshish ki gayi hai.
Nizaam-e-Hazm Ki Islaah
Anjeer ko riwayati tor par sehat ke masail mein akseer aur faidemand jana jata hai. Fiber ki ziyada miqdaar hone ke sabab anjeer ko qudrati qabz kasha mana jata hai.
Isko apni inhi khususiyaat ki buniyad par pro-biotic bhi samjha jata hai, yaani iske istemal se nizaam-e-hazm ke liye zaroori achay bacteria ki afzaish hoti hai.
Anti-Oxidant
Achhi tarah pakki hui anjeer mein polyphenol murakkab mojood hota hai. In murakkabat mein hifazati anti-oxidant khususiyaat payi jati hain.
Jiska matlab hai ke ye oxygen ko doosray chemicals ke saath rad-e-amal zahir karne aur khaleon aur bafteon ko nuqsaan pohanchane se rokne mein madad karte hain.
Blood Pressure Control Mein Rakhna
Hum mein se aksar log sodium se bharpoor ghizayen khate hain jis ke baais khoon mein potassium ki kami aur buland feshaar khoon (blood pressure) ka khatra rehta hai.
Anjeer samait doosray phal aur sabziyon ko ghiza ka hissa banaya jaye to is se qudrati tor par potassium ki kami door hoti hai aur is se blood pressure bhi qaboo mein rehta hai.
Doosri jaanib, anjeer mein paya jane wala allulose apne zaiqay mein taqreeban 70% tak chini ki tarah meetha hota hai lekin ye bohot kam calories ka haamil hota hai aur iske blood sugar ki satah par asraat lagbhag na hone ke barabar hote hain. Allulose qudrati tor par bohot kam dastiyab hai aur ye qudrati tor par anjeer aur kishmish mein paya jata hai.
Hadiyon Ki Mazbooti
Anjeer mein calcium, magnesium aur phosphorus ki miqdaar mojood hoti hai jo hamari hadiyon ko mazboot banane ke liye ahem minerals hain.
Ek report ke mutabiq baaz doosray phalon ke muqable mein anjeer mein 3.2% calcium paya jata hai.
Potassium ki achhi miqdaar hone ke baais ye hadiyon se calcium ke ikhraj ka woh amal bhi rokne mein ma'awan hoti hai jo zyada namak wali ghizaaon ke baais sehat ke liye nuqsan ka sabab banta hai.
Saath hi saath anjeer ko osteoporosis ke khatre ko kam karne mein bhi asar rakhne wale phal ke tor par jana jata hai.
Wazan Aur Diet Ki 'Management' Mein Ma'awan
Anjeer mein qudrati tor par ghizai reshay ki miqdaar zyada hoti hai. Vitamins aur minerals se bharpoor anjeer aap ki khuraak ki kasafat ko behtar bana kar mufeed ghiza mein badal sakti hai aur iske nateeje mein wazan ke maamlaat behtar karne mein madad milti hai.
Zyada fiber wali ghizayen pait bharne ka ehsaas dilati hain aur bhook aur khwahish ko kam kar sakti hain jabke ahem ghizai ajza khoon ko sehatmand rakhne mein madad karte hain.
Anjeer Kin Ke Liye Ghair Mehfooz?
Agar aap ko pollen se allergy hai to aap ko anjeer samait baaz phalon se reaction ka tajurba ho sakta hai. Anjeer ke darakhton mein qudrati latex bhi hota hai jis se kuch logon ko allergy hoti hai.
Agar aap ko kam-oxalate ghiza par amal karne ka mashwara diya gaya hai to aap jaan len ke anjeer mein oxalate bari miqdaar mein hote hain aur in mein vitamin K bhi bari tadaad mein mojood hota hai.
Is liye agar aap ko khoon patla karne wali dawa tajweez ki jati hai to aap ko anjeer ke saath saath vitamin K se bharpoor doosri ghizaaon ka istemal rozana ke hisaab se rakhna chahiye.
Taham anjeer se tamam log lutf andoz nahi ho sakte.
Misaal ke tor par sabzi khor anjeer khane se parheiz kar sakte hain kyun ke anjeer ki baaz qisam mein phal banne ke amal ke doran ismein pollen ya keere mar jate hain.
Tijarti maqsad ke liye banayi gayi anjeer baghair pollen ke ugaayi jati hain aur is liye sabzi khor isko kha sakte hain. Agar anjeer aap ne abhi khana shuru ki hai to shuru mein itedaal ke saath in se lutf uthain kyun ke zyada miqdaar mein ise khane se jalaab ho sakta hai.
Anti-Oxidant Polyphenol Jo Khaleon Ke Nuqsaan Ko Roke
Anjeer motadil ghiza mein ek faidemand izafa hota hai. Ye fiber se bharpoor hoti hain, jo bhook aur khwahish ko kam karne aur hazme ki sehat ko sahara dene mein madad karte hain.
In mein kuch doosray phalon ke muqable mein zyada calcium bhi hota hai, lihaza dairy-free ghiza khane wale har shakhs ke liye mufeed zaraye ho sakti hai.
Pakki hui anjeer mein anti-oxidant polyphenol bhi khaas tor par zyada hote hain, jo khaleon ko pohanchne wale nuqsaan ko rokne mein madadgar sabit hote hain.
Agar aap tajweez kardah dawaiyan le rahe hain to koi bhi ghizai tabdeeli karne se pehle apne GP ya registered ghizai maahir se mashwara karein.
Read More:
Beshter afrad ki pasandeeda woh cheez jo diabetes, dil aur girdon ke amraaz ka shikar banadeti hai.
COVID-19: Corona virus ki yeh waba kaise be waqt maut ka sabab ban sakti hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU