Also Read
Aksar log kuch arsay se pareshaan hote hain. Khandani masail, kaam ka dabao, imtihaan ka pressure ya phir gunda gardi (bullying) ki wajah se log nakhush hote hain. Ho sakta hai ye log mayoos ho kar ye samajhne lagen ke aise masail se chutkara mumkin nahi hai ya phir koi bhi unki madad nahi kar sakta.
Aise mein kabhi dhatkare jana, imtihaan mein fail ho jana, kaam ka ya maali dabao aakhri tinka sabit ho sakta hai.
Depression ek zehni bemari hai jis ke bais log khudkushi ki janib mail ho jate hain.
Khudkushi par baat kyun nahi hoti?
Khudkushi ke barhte huye rujhan ke bawajood is par bohot kam baat hoti hai. America ki misaal lein jahan khudkushi ke waqiat mein marne walon ki tadaad sadkon ke haadson mein hone wali amwaat se zyada hai.
Phir woh log hain jo ab bhi kehte hain ke khudkushi ek 'khud garzaana qadam' hai aur quwwat-e-iradah se aisa qadam uthane se roka ja sakta hai.
Lekin agar khudkushi par baat karni shuru kar bhi di jaye to phir bhi hum khudkushi ki soch ko deegar bemariyon ke baraks bilkul sahi tashkhees se rokne mein bohot waqt lenge.
Agarche depression ko kam karne ya khatam karne ki dawaaen aur counseling se khudkushi karne ki soch mein kami ho sakti hai lekin yeh har mareez ke liye behtareen ilaaj nahi hai.
Samaji kaarkun aur zehni amraz ke liye rehnumai faraham karne wale falahi idare 'The Color Blue' ki sarbarah Danika Kamal kehti hain ke 'Mein teen chaar baras qabal khud depression ka shikar hui to mujhe ehsaas hua ke mere ird gird ke afraad yahan tak ke doctors ko bhi is marz ki samajh nahi thi.
'Mera apna khandan bohot madad gaar tha lekin doosre log kehte the ke tumhein kaise depression ho sakta hai, ye aarzi hai tum theek ho jao gi.'
Danika Kamal kehti hain ke 'BNU mein pesh aane wale waqay ke aini shahideen ne bhi social media par kuch isi qism ki raye ka izhar kiya hai ke haadsay se pehle woh isko sanjeeda nahi le rahe the. Hamare khandan mein bhi bohot se afraad tahal depression ko samajh nahi sake.'
Khud aagahi
Khas tor par khud kushi ki koshish asabi tabdeeliyon ke bawajood hoti hai jo un logon mein nahi payi jati jo mukhtalif aqsaam ke depression mein mubtila hote hain.
Jadeed tehqiqat ke mutabiq woh bimari jise hum 'depression' ke naam se jaante hain, woh darasal kai mukhtalif bimariyon ka majmua hai, jin ki mukhtalif dimaaghi wajahaat ho sakti hain.
Misaal ke tor par jo log khudkushi ka rujhan rakhte hain un mein dimaag ke ek makhsoos hisse 'dorso mediel pre frontal cortex' mein safed maadda ke connections ki kami hoti hai.
Yeh hisse maathe ke bilkul peeche waqay hota hai aur yehi woh jagah hai jahan khudaagahi ka ehsaas paida hota hai.
Danika Kamal kehti hain ke 'depression ke baare mein humare muasharay mein aagahi bohot kam hai. Bohot saare afraad isko shakhsiyat ki kami ke tor par dekhte hain ke flan hassaas tabi'at ka malik hai ya yeh ek aarzi kiifat hai ya yeh kaha jata hai ke kisi par jinn bhot aa gaya hai.'
Woh kehti hain ke 'log yeh bhi nahi samajh sakte ke jo log zahiri tor par bohot khush lag rahe hain, doosron se milte julte ya hansi mazaak karte hain unko bhi depression ho sakta hai.'
Durust tashkhis
Khudkushi ke rujhan ki durust tashkhis ho jaye to is se mukhtalif qisam ke depression mein mubtila afraad ka mukhtalif tareeqay se ilaaj mumkin hai.
Sab se pehle to humein yeh maloom ho sakay ga ke kis shakhs ke khudkushi karne ke zyada imkaanaat hain. Khudkushi karne ke baare mein sochne wale afraad apne tareek tareen ehsaasaat kisi ko nahi bata sakte, yahan tak ke doctors ko bhi nahi. Lekin dimaag ke scan se doctors ko pata chal sakta hai.
Asaab ki toot phoott se kuch chemical tabdeeli aati hai. Baaz scientiston ka kehna hai ke is tabdeeli ke baare mein khoon ke test se maloom kiya ja sakta hai jis ke bawajood khudkushi ke rujhan ka pata chalaya ja sakta hai.
Danika Kamal kehti hain ke 'depression ya khudkushi ki janib mail shakhs ki madad ka behtareen tareeqa us se baat cheet hai aur is mein unhein bolnay dein aur aap unki baat sunte rahiyein.'
Woh kehti hain ke 'kisi bhi aam shakhs se chand lamhe baatein karne se unka marz theek nahi hota is liye isay mo'alej ko dikhana zaroori hota hai. Lekin agar woh raat ko das bajay chay ghante ke liye bhi aap se baat karen to unki baat sunain.'
Danika Kamal ke mutabiq 'Pakistan mein zyada tar khawateen depression ka shikar hoti hain. Depression ki alamat mein bohot zyada ya bohot kam sona, bohot zyada khana ya bohot kam khana shamil hain.
Isi tarah depression ke bohot se mareez doosray afraad se zyada milne julne ki koshish karte hain kyun ke tanhai mein woh bohot zyada sochte hain aur apne dukh ko chhupane ke liye logon se milne julne ka dikhawa karte hain.'