Haqiqi khushi dolat se nahi milti: Nayi tahqiqat

Also Read

Haqiqi khushi dolat se nahi milti: Nayi tahqiqat

 Ek nayi tahqiqat se maloom hua hai ke aamdani dugni hone ki nisbat achi sehat aur acha shareek-e-zindagi logon ki zindagiyon ko zyada khush o khurram banata hai.

London School of Economics ki is tahqiqat mein do laakh logon ki zindagiyon par mutarraf hone wale mukhtalif halaat ka jaiza liya gaya.

Is se pata chala ke depression ya bechaini ki bimari logon ki khushi par sab se zyada asarandaaz hoti hai, jab achay shareek-e-hayat ki wajah se sab se zyada khushi naseeb hoti hai.

Tahqiqat ke shareek munsef ka kehna hai ke is daryaft se 'riyasat ka naya kirdar samne aata hai.'

Yeh tahqiqat duniya bhar mein kiye jane wale raay aam ke mutadid bain-ul-aqwami jaizo par mushtamil hai.

Science daanon ne maloom kiya ke aamdani dugni ho jane se aik se le kar das tak ke peemane mein khushi sirf 0.2 darjay ke qareeb buland hui.

Tahqiqat ke mutabiq iski wajah yeh hai ke log apni aamdani ke khud par parne wale asar ki bajaye doosron se apni aamdani ke taqabul ka zyada ehsaas karte hain.

Taham achha shareek-e-hayat mil jane se khushi mein 0.6 darjay izafa ho jata hai, jab ke shareek-e-hayat ki maut ya alahdgi se usi qadr kami waqeh hoti hai.

Taham is peemane par sab se zyada manfi asar depression aur bechaini ki bimari se parta hai, jis se khushi 0.7 darjay gir jati hai. Isi tarah berozgaari se bhi usi qadr kami waqeh hoti hai.

Tahqiqat ke shareek musannif Professor Richard Layard ne kaha ke is se zahir hota hai ke riyasat ko apne shehrion ki khushi mein naya kirdar ada karne ki zarurat hai, aur woh dolat paida karne se zyada khushi paida karne par zor de.

Unhone kaha: 'Shawahid se zahir hota hai ke jo cheezen hamari khushi aur dukh mein sab se zyada kirdar ada karte hain woh hamare samaji talluqaat aur hamari zehni aur jismani sehat hain.

'Maazi mein riyasat ghurbat, berozgaari, taleem aur jismani sehat jaise masail ke khilaf jang larti rahi hai. Lekin gharayloo tashaddud, kasrat-e-sharaab noshi, depression aur bechaini, imtihano ka dabao, waghera bhi itne hi ahm hain. Inhein markazi ahmiyat dene ki zarurat hai.'