Kya khanay ke sabab bhi aap ko sar dard ho sakta hai?

Also Read

Kya khanay ke sabab bhi aap ko sar dard ho sakta hai?

Britaniya mein taqreeban ek karor afraad migraine (sar dard) mein mubtala hain aur is takleef mein mubtala afraad ki umrain 25 se 55 baras ke darmiyan hain.

Migraine ki asal wajahat maloom nahi aur na hi yeh maloom kiya jaa saka hai ke kahin yeh koi morosi bimari to nahi, taham kuch afraad ka kehna hai ke khanay aur mashroobat samait aisi mukhtalif cheezein hain jin ke istemal ke sabab unke sar mein dard shuru ho jata hai.

Humne sar dard ki wajahat jaan-ne ke liye science danon aur maahireen se baat ki.

Netherlands mein Leiden University Medical Center se munsalik Professor Gisela Trondt kehti hain ke 30 percent afraad aise hain jo yeh samajhte hain ke kuch khanay ki ashya ke istemal se unke sar mein dard shuru ho jata hai.

San 2015 mein University of Oklahoma ke muhaqqiqeen ne inkishaaf kiya tha ke ‘paneer, red wine, chocolate, monosodium glutamate, nitrate, citrus phal ya unke juices’ sar dard ki wajahat ho sakti hain.

British Dietetic Association se munsalik Dr. Devon Miller kehti hain ke ‘is takleef mein mubtala rehne wale afraad jin khanay ki ashya ka sar dard se taluq jortay hain unmein woh cheezein shamil hain jin mein tyramine hota hai.’

Unke mutabiq tyramine paneer, red wine ya chocolate mein bhi paaya jata hai. Aise saboot mojood hain jin se pata chalta hai ke tyramine zyada miqdaar mein istemal karne se sar dard ki shikayat ho sakti hai.

Tyramine aam tor par caffeine ya doosray mashroobat mein bhi mojood hota hai.

Britaniya ki National Health Services ne maazi mein tajwez di thi ke jinhein sar dard ki shikayat hai woh kam az kam ek maheene tak aisi khanay ki cheezon se door rahen jin mein tyramine paaya jata ho.

In ashya ki fehrist mein sharaab, beers, wine, chocolate, cheese, coffee aur caffeine par mushtamil doosray mashroobat shamil thay.

National Health Services ne citrus phal yani kino aur Malta waghera, unke juice, soor ka gosht, matar, jheenge aur keekra khanay se bhi ijtinaab baratne ka mashwara diya tha.

Kya khanay ke sabab bhi aap ko sar dard ho sakta hai?

Waqt par khana khanay ki ahmiyat

Sahi waqt par khana na khana ya kisi waqt ka khana chhor dena bhi sar dard mein izafay ka bais ban sakta hai.

Dr. Miller kehti hain ke ‘kharab diet ya khanay ka ghalat mamool bhi sar dard ki ibtida ka bais ban sakta hai.’

Woh mazeed kehti hain ke ‘kabhi sar dard aisa bhi hota hai jis ke bais aap ko matli hone lagti hai jis se khanay mein dilchaspi bhi kam hone lagti hai.’

London mein ek taqreeb ke dauran Dr. Trondt ne ek tehqeeq ka hawala diya tha jis mein kaha gaya tha ke 50 percent khawateen aur 40 percent mard khanay ke mamool mein kharabi ko sar dard ki wajah batate hain.

Pani ki kami ke sabab bhi sar dard barh sakta hai aur yaad rakhein kuch mashroobat jaise ke sharaab jism mein pani ki kami ki wajah banti hain.

Professor Trondt kehti hain ke 40 percent mard aur khawateen ke mutabiq sharaab bhi un ke liye sar dard ki ek wajah hai.

Kya khanay mein tabdeeli sar dard mein kami ka bais ban sakti hai?

San 2022 mein Stanford University ke maahireen ne wazeh kiya tha ke khanay peenay mein tabdeeli karne se pehle ek mufassal tehqeeq karne ki zarurat hai.

Taham unka yeh zaroor kehna tha ke mamool par khana peena, sehatmand khana aur wazan mein kami karne se sar dard ki shikayat mein kami aati hai.

Lekin apne khanay se koi bhi cheez nikalne se pehle aap apne doctor se baat kar lein kyunki sar dard aur khanay ke darmiyan koi wazeh connection nazar nahi aata.

Exeter Headache Clinic se munsalik Dr. David Kernick kehte hain ke ‘aise saboot bhi paye jate hain ke aisi ajza bhi mojood hain jinhein migraine diet kaha ja sakta hai.’

‘Aap iska istemal karein aur dekhein ke woh kitna kaar-amaad hai. Sab se aham baat yeh hai ke aap processed food se door rahen aur sabzion aur phalon ka istemal zyada karein.’

Dr. Miller ke mutabiq ‘yeh sehatmand ghiza lene ka maamla hai, yani mamool ke mutabiq khayein aur kisi bhi auqaat ke khanay ko na chhodein.’

Kya khanay ke sabab bhi aap ko sar dard ho sakta hai?

Dr. Debbie Shipley is hawalay se kehti hain ke ‘agar aap tasalsul se khanay mein waqfa le rahe hain ya khana nahi kha rahe to aap ke sar mein dard hone ke imkanat barh jate hain.’

Woh kehti hain ke jin logon ke sar mein dard rehta hai woh apne paas diary rakh lein aur note karte rahen ke kaun si ashya sar dard ka bais ban rahi hain.

Professor Miller kehti hain ke agar koi shakhs samajhta hai ke kisi cheez se unke sar mein dard ho raha hai to woh iska istemal rokne se pehle doctor se zaroor rujoo karein kyunki ho sakta hai is khanay ke ajza mein doosri cheezein bhi hoon jo ke insani jism ke liye zaroori hain.

‘Agar woh kisi cheez ka istemal rok rahe hain to is cheez mein mojood khususiyat ko doosri ajza mein dhoondein aur iska istemal barhayein.’

Read More:
Vegan ghiza kya hai aur budhappe mein iska istemal sehat ke liye kaisa hai?
Herods se 16 million pound ki shopping karne wali khatoon kon?
Crédit :- BBC.COM/URDU