Insani dimagh mein mojood woh khususiyat jo insan ko janwaron se zyada zahanat deti hain.

Also Read

 

Insani dimagh mein mojood woh khususiyat jo insan ko janwaron se zyada zahanat deti hain.

Shaoor ke lehaz se insan tamam jandaron mein sab se aage hai. Kisi doosri makhlooq ne sayaron ki taraf space ship nahi bheje, na zindagiyan bachane wali vaccines ijad ki aur na hi shayari takhleeq ki.

Yeh sab karne ke liye insani dimagh maloomat ko kis tarah istemal ya process karta hai? Yeh woh sawaal hai jo insan ko apne la-mehdood sehr mein jakda hua hai, lekin is sawaal ka koi hatmi jawab nahi hai. Waqt ke saath dimagh ke bare mein hamari samajh mein tabdeeli aayi hai.

Lekin mojooda nazariyat ke mutabiq, dimagh "taqseem shuda maloomat ko process karne ka nizaam" hai.

Iska matlab hai ke dimagh ke mukhtalif hissay hain jo be-shumar taaron ke zariye ek dosray se munsalik hain. Yeh hissay aanay aur janay wale signals ke ek nizaam ke zariye maloomat ka tabadla karte hain aur ek dosray se rabta rakhte hain.

Tahum, yeh zyada pechida soorat-e-haal ka sirf ek chhota sa hissa hai. Jareeda Nature Neuroscience mein chapne wali tehqiqat mein mukhtalif jandaron aur kai neuro-scientific nazariyat ke shawaahid ko istemal kiya gaya hai, jinse zahir hota hai ke dimagh sirf ek hi qisam ki maloomat ko process nahi karta.

Maloomat ke istemal ka tareeqa bhi insano aur doosre jandaron ke darmiyan mukhtalif hai, jisse yeh samjha ja sakta hai ke insan shaoor ke lehaz se kyun buland satah par hai.

Yeh jan'ne ke liye ke dimagh maloomat ko kis tarah istemal karta hai, hum Information Theory ke riyazi tasavvurat ka sahara lete hain. Humein maloom hota hai ke dimagh ke mukhtalif hissay ek dosray se rabta karne ke liye mukhtalif hikmat-e-amliyan ikhtiyar karte hain.

Insani dimagh mein mojood woh khususiyat jo insan ko janwaron se zyada zahanat deti hain.


Mukhtalif Hikmat-e-Amliyan

Dimagh ke kuch hissay bohot daqiyanosi tareeqay se maloomat ka tabadla karte hain aur aanay aur janay walay signals ka istemal karte hain.

Yeh is baat ko yaqini banata hai ke signal apna paigham musalsal aur bakhubi bhejte rahen. Yeh un hisson se mutaliq hai jo mehsoos karne aur harkat ke zimmedar hain, jaise awaaz, basarat (nazar), aur harkat ki maloomat ka istemal.

Aankh ke baare mein sochiye jo dimagh ko istemal karne ke liye signal bhejti hai. Yeh zyadatar dohrayi maloomat hoti hain jo dono aankhein bhejti hain.

Iska matlab hai ke dimagh ko maloomat ke aadhe hissay ki zarurat nahi hoti. Taham, yeh mazboot aur qabil-e-bharosa hai aur isi wajah se hum ek aankh se dekhna bhi jaari rakh sakte hain.

Yeh salahiyat apni baqa ke liye zaroori hai. Dar asal, yeh salahiyat itni zyada zaroori hai ke dimagh ke mukhtalif hissay aapas mein aise juray hotay hain jaise koi landline phone ho.

Taham, aankhon ki jaanib se bheji janay wali tamam maloomat ki noiyat dohrayi nahi hoti, yani ek jaisi do maloomat nahi hoti ke un mein se ek ghair zaroori ya faltu ho. Dono aankhon ki jaanib se bheji janay wali ek jaisi maloomat se dimagh ashya ke darmiyan gehrai aur faaslay ko process karta hai. Dimagh ka yahi kaam cinema mein mukhtalif qisam ke 3D chashmon ki buniyad hai.

Hum dimagh mein maloomat ke is tarah process honay ko Synergic kehte hain, yani jab dimagh ke mukhtalif networks se aanay wale pechida signal ek dosray se milte hain.

Hum yeh jan'na chahte hain ke insani dimagh ki pechida networking ke zariye maloomat ko jama aur process karne ki salahiyat kya un doosri makhlooqat se mukhtalif hai jo irtiqai lehaz se insaan ke qareeb hain. Is salahiyat ko Synergy kehte hain.

Yeh maloom karne ke liye Nature Neuroscience ki tehqiqat mein mukhtalif janwaron ke dimagh ki tasaveer ke data aur jineyati tajziye ka jaiza liya gaya. Is jaize se maloom hua ke insani dimagh mein pechida maloomat ko process karne ki salahiyat bandron ke muqablay mein kahin zyada hai.

Is tehqiqat mein khaas tor par dimagh ke samne ke hissay, jise Prefrontal Cortex kehte hain, ka jaiza liya gaya. Yeh hissa shaoor ke lehaz se aala satah ke kaam ki dekh bhal karta hai.

Insani dimagh mein mojood woh khususiyat jo insan ko janwaron se zyada zahanat deti hain.

Bandron mein yeh hissa faltu ya ghair zaroori maloomat ko process karta hai, jabke insani dimagh mein yeh jagah Synergy ka markaz hai, yani yahin par pechida networking ke zariye maloomat ko jama aur process karne ka kaam hota hai.

Isi wajah se insani dimagh un dosre janwaron se behtar hai jo irtiqai lehaz se insano ke qareeb tareen hain.

Isi tarah insani dimagh ke woh hissay jo maloomat ki Synergic Processing karte hain, insani dimagh ko bandron se afzal banate hain. Dimagh ke yeh hissay insan ko zahanat faraham karte hain.

Is tarah hum is natije par pahunchtay hain ke insani dimagh ka woh izafi tissue jo irtiqa ke nateejay mein peda hua hai, Synergy jaise amal ka zimmedar hai. Is wajah se hum yeh keh sakte hain ke insano mein mojood shaoor ki izafi salahiyat isi wajah se hai.

Read More:
Hum apne dimagh ko sehatmand aur tez kaise bana sakte hain?
Apne Liye Behtareen Tips ka Inkishaaf
Crédit :- BBC.COM/URDU