Also Read
Brittania mein insid-e-badunwani ke naye qanoon ka pehla nishana banne wali is khatoon ka naam zahir kar diya gaya hai jo London mein apna 11.5 million pound ka ghar bachane ki koshish kar rahi theen.
Zamira Haji Eva ka talluq Azerbaijan se hai. Woh apna naam makhfi rakhne ki qanooni jang haar gayi hain kyun ke media ki taraf se isrār kiya gaya tha ke Brittania ke awaam ko mukammal haqaiq ka ilm hona chahiye.
Mrs. Haji Eva Azerbaijan ke ek sarkari banker ki ehliya hain aur unhon ne das baras ke dauran London mein waqeh mashhoor store Harrods mein 16 million pound kharch kiye. Unhon ne store ke qareeb ek ghar aur Berkshire mein ek golf course bhi khareeda.
Naya qanoon kya kehta hai?
National Crime Agency ki tahqiqatī team ka khayal hai ke corruption ki raqam se Brittania mein arbon pound ki jayedadain khareedi gayi hain lekin sabooton ki kami ki wajah se in jayedadon ke malikaan par muqadma chalana ya assets ko zabt karna qareeban namumkin hai.
Naye qanoon ke mutabiq aise malikaan ko batana hoga ke unki daulat ka zariya kya hai.
Agar koi badunwan gair mulki ahlkaar ya uska khandan daulat ka jayeza zariya nahi bata sakega to National Crime Agency High Court mein aise jayedad ki zabti ki darkhwast kar sakti hai.
Is pehli karwai ke markaz mein konsi jora hai?
Sat saal pehle British Virgin Islands mein waqeh ek company ne London mein Harrods store se chand qadam door ek bade ghar ki khareedari ke liye 11.5 million pound ada kiye thay.
High Court ko bataya gaya ke yeh jayedad Mrs. Haji Eva aur unke shauhar ki milkiyat hai.
2013 mein Mrs. Haji Eva ki ek aur company ne Berkshire mein Mill Ride Golf Club khareedne ke liye das million pound se zyada ki raqam kharch ki.
Jora Brittania kitni raqam laya?
July mein High Court ko ek samaat mein bataya gaya ke Mrs. Haji Eva ke paas bohot daulat hai. Unhon ne das saal ke arsay mein Harrods mein 16 million pound se zyada kharch kiye jo yomiyah chaar hazar pound bante hain.
Adalat mein pesh ki gayi tafseelat ke mutabiq unhon ne mehange zewar, perfume aur ghariyon ki khareedari par ek din mein dehr lakh pound kharch kiye. Agle roz unhon ne 1800 pound ki sharaab khareedi jabke ek aur moqa par unhon ne Cartier zewar par ek lakh pound aur mardoon ke istemal ki ashya par 20 hazar pound kharch kiye.
Mrs. Haji Eva ne apne shauhar ke bank ki taraf se jari kiye gaye 35 credit cards aur teen store cards istemal kiye.
Sarkari record ke mutabiq yeh jora Harrods ke makhsoos car park mein gaadiyan khadi karne ke liye bani haashiye wali do parking spaces ka bhi malik tha jabke Mrs. Haji Eva ne 42 million dollar ke qeemat ka ek private jet bhi khareeda tha.
Kya Mrs. Haji Eva ne tasleem kiya ke unhon ne kuch ghalat kiya?
Mrs. Haji Eva ke wakala ne High Court ko bataya ke unki moakila aur unke shauhar ke saath naa insaafi ki ja rahi hai.
Jahangir Haji Eva ne apne bank ke saath dhoka karne ki tardiid ki lekin apni saza ke khilaf appeal ki jo naakaam ho gayi.
Unke wakala ka kehna hai ke Azerbaijan ka badunwan hukmaran khandan unse naraz ho gaya jis ki unko yeh qeemat ada karni padi hai.
Jahangir Haji Eva ne Insani Huqooq ki European Court se kaha hai ke woh unke case mein mudakhlat kare.
Mrs. Haji Eva ne High Court mein apne muqadme mein kaha ke unke khawand ek jayeza karobari shakhs thay aur bank ke chairman banne se pehle hi bohot ameer ho chuke thay.
Lekin National Crime Agency ne adalat ko bataya ke Jahangir Haji Eva 1993 se 2015 tak sarkari mulazim rahe aur ek sarkari ahlkaar ke tor par unke paas itni daulat ikatthi karne ke wasail nahi thay.
Read More:
Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.
Aap ki chhe maali pareshaaniyan jin se aap hi waqif nahin.
Crédit :- BBC.COM/URDU