Also Read
‘Log sochte hain yeh drama hai, itna shadeed dard nahi ho sakta’16 saal ki umar mein medical science ki taliba Carolina apne dada aur dadi ke ghar mein sofa par aaram kar rahi thin ke achanak unhein apne sar mein shadeed dard mehsoos hua.
Woh chand haftay pehle hi dengue bukhar se sehat yaab hui thin, is liye unka khayal tha ke yeh dard usi infection ki wajah se ho raha hai.
Carolina us waqt char mah ki haamil thin aur is se qabl unhein sehat ka koi sangeen masla nahi tha. Dard ka yeh dora chand hi second mein aaya aur chala gaya, to unhon ne is par koi khaas tawajjo nahi di.
Woh kehti hain ke ‘yeh ek aisa dard tha jo maine pehle kabhi mehsoos nahi kiya tha. Main dard ki shiddat ki wajah se cheekh rahi thi aur zaar-o-qataar ro rahi thi. Us waqt mere khandan walon ko meri is kefiyat aur takleef ke baare mein kuch bhi samajh mein nahi aaya, kyunki yeh sab itna jaldi mein hua ke kisi ko kuch samajhne ka moqa hi nahi mila.’
Carolina ke mutabiq yeh dard chehre par bijli ke shadeed jhatkon ki tarah mehsoos hota tha, jo waqfa waqfa se barhne laga. Kuch mahinon ke baad yeh dard aksar hi rehne laga tha.
Woh kehti hain ke ‘ek waqt aisa bhi aaya jab har hafte mujhe dard ki in lehren ki wajah se hospital jana parta tha. Is dard aur meri is kefiyat ki wajah kya thi yeh jaan’ne ke liye maine mukhtalif mahireen ke paas jana shuru kiya. Main 27 mukhtalif tibi mahireen ke paas gayi.’
Char saal hospital ke so aur chand chakkar lagane aur mutadid tests karwane ke baad Carolina ko ‘Trigeminal Neuralgia’ ki tashkhees hui, ek aisi bemari jis ke sabab uthne wale dard ko ‘duniya ka badtareen dard’ tasavvur kiya jata hai.
Trigeminal Neuralgia ek aisi bemari hai jis se trigeminal nerve (chehre ko dimagh se jodne wali nasein) mutasir hoti hain.Yeh dard sar aur chehre ke pathon mein hota hai.
‘Jab koi nas kisi kharabi ya bemari ki wajah se dabao ka shikar hoti hai aur is se khoon ki deegar pathon tak rasai aur rawani mutasir hoti hai to is surat mein dard ka ek shadeed dora parta hai. Dard ke is dore ke baad mutasir shakhs ka chehra be-hiss bhi ho sakta hai, unhein shadeed jhanjhalahat ka samna karna parta hai aur ankhon mein pani bhi ana shuru ho jata hai.’
Yeh bemari aam tor par chehre ke ek hisay ko mutasir karti hai. Shaz-o-nadir hi aisa hota hai ke is ka samna karne walon ko chehre ki dono janib yeh shadeed dard ho, jaisa ke medical science ki taliba Carolina ke sath hota hai.
Yani is ka shikar hone wala fard apni pesha warana aur mu’asharti sar-garmiyon ko chhorne par majboor ho jata hai jis se un ka miyaar-e-zindagi mutasir ho sakta hai.
Carolina ke sath bhi bus kuch aisa hi hua.Carolina ka kehna hai ke woh ab kaam karne ke qaabil nahi aur un ka zyada tar waqt bistar par hi guzarta hai taake woh dard ke dore se apne aap ko bachane ki koshish kar saken, kyunki yeh is qadar shadeed hota hai ke is mein qay aur behoshi hone ka khatra bhi hota hai.
Rozmarra ke chhote chhote samjhe jane wale kaam jese ke daanton ko brush karna, apne balon ko chhuna, unhein kanghi karna, chabana, ya yahan tak ke chehre par pankhay ya air conditioner ki hawa bhi is dard ko mutaharrik karne ka sabab banti hai.
Carolina kehti hain ke ‘yeh dard itna shadeed aur takleef deh hota hai ke maine is doran do martaba apni jaan lene ki koshish ki, maine apni sheh rag katne ki koshish tak ki, ke bus ab main is dard ke sath zinda nahi rehna chahti aur main ab apni tamam takleefon ko yahan khatam karna chahti hoon aur un se azaad hona chahti hoon.’
Woh kehti hain ke ‘maine euthanasia ke baare mein bhi socha (yani tibi tareeqay se apni jaan khatam karne ke baare mein) lekin ek to Brazil mein is ki ijazat nahi aur doosra yeh ke mere paas kisi doosre mulk mein is tareeqa kar ko talash karne ke liye wasail nahi.’
‘Maine is baare mein bhi bohot socha ke aisa kar ke main khud gharsi ka muzahira to nahi karungi? Kyunki meri ek beti aur ek khandan hai. Lekin main ab is dard mein mubtala rehne aur is tarah jeene se thak gayi hoon, ab yeh sab bardasht nahi hota.’
Is takleef se nikalne ke liye Carolina pehle hi teen operation karwa chuki hain taake trigeminal nerve ki kharabi ko door kiya ja sake. Pichle saal ke akhir mein Carolina ke chehre ka bayaan hissa maflooj ho gaya tha.
Carolina ka kehna hai ke ‘is dard ke sath zindagi basar karte hue mujhe 11 saal ho chuke hain. Main har roz morphine aur is se bhi zyada taqat wali adwiyat ka istemal kar rahi hoon. Log aksar sochte hain ke yeh sab ek drama hai aur dard itna shadeed nahi ho sakta lekin jo log is bemari mein mubtala nahi hain woh isay kabhi samajh nahi payenge.’
Khawateen aur umr raseeda afraad mein aam marz
Nojawan logon mein yeh aam tor par sehat ke deegar masail se wabasta hota hai jese dimaag mein tumor, sharyanon par dabao, ya multiple sclerosis jesi bemariyan.
(Multiple sclerosis mein insani jism mein mojood quwwat-e-mudafaat ka nizam dimaag mein khoon ki sharyanon ke gird mojood hifazati teh ko mutasir karta hai.)
Tahum apni noiyat ki is munfarid bemari mein is baat ka bhi imkaan hota hai ke yeh bagair kisi wazeh wajah ke peda ho sakti hai aur kisi ko kisi bhi waqt mutasir kar sakti hai.
Ek andaze ke mutabiq Brazil mein ek lakh logon mein is bemari ke paanch cases samne aate hain aur yeh buniyadi tor par 50 ya 60 saal se zyada umr ke afraad ko mutasir karti hai.
Maahireen ka maana hai ke ‘yeh cases khawateen mein zyada dekhne mein aate hain, lekin abhi tak is ki koi scientific wazahat nahi samne aa saki ke aisa kyun hota hai.’
Is marz ki tashkhees clinical tajziye aur imaging test, jese CT scan ke zariye ki jati hai.
Neurologist Vinicius Boratti ka kehna hai ke ‘chunke is bemari ke baare mein zyada baat nahi ki jati is liye bohot se log is mein samne aane wali alamat ko ‘sinusitis’ ya daanton ki bimariyon se jorte hain aur is bemari se mutaliq ek ajeeb si uljhan ka shikar rehte hain.’
‘Lihaza, doosre imkanaat ko mustarad karne aur sahih tashkhees tak pahunchnay ke liye neurologist ki madad aur rehnumai intehai zaroori hai, taake mareez ko zyada takleef se bachaya ja sake aur unhein mamool ki zindagi ki janib wapas lane ki koshish ki ja sake.’
Neurologist ke mutabiq is marz ke ilaj se mutaliq baat nahi ki jati, baat agar hoti hai to woh yeh ke is dard par kaise qaboo paana hai.
Is bemari mein mutasir ragon ke ilaj ke liye operation karwane ka bhi mashwara diya jata hai aur is tarah dard ke shadeed hamlay ya dora ko kam kiya jata hai, jis se mareez ko mamool ki zindagi ki taraf wapas lane mein madad milti hai.
Jab bemari sehat ke deegar masail se munsalik ho to sab se aham kaam ya pehla qadam is ki barwaqt tashkhees aur is ka ilaj hota hai.
Read More:
Kya khanay ke sabab bhi aap ko sar dard ho sakta hai?
Healthy Eating: Balanced Diet ke Liye Asan Tips
Crédit :- BBC.COM/URDU