Also Read
Intebah: Is tehreer mein kuch tafseelat qarayeen ke liye takleef deh ho sakti hain.
Das November ki subah Zahra Qadeer ke phone ki ghanti baar baar baj rahi thi magar koi phone utha nahi raha tha. Aaj se pehle aisa bohot kam hua tha ke Zahra ke phone par itni baar calls karne ke bawajood koi jawab na aaya ho.
Zahra ko Saudi Arab se wapas aane ke baad walid ke ghar se apne susral gaye abhi teen din hi huye thay.
Zahra ke walid Shabbir Ahmed isi soch mein thay ke unhein Zahra ke shohar ka Saudi Arab se phone aaya aur unhon ne bhi yahi baat dohraayi ke Zahra se rabta nahi ho raha.
Zahra ka yeh mamool tha ke woh rozana din mein do teen baar apne walid aur shohar ko phone karke unki khairiyat daryaft karti thi. Woh Saudi Arab mein muqeem apne shohar ko bhi din mein mutadid martaba calls karke apne 2.5 saal ke bete aur apni khairiyat se mutaliq aagah karti thi.
Aise mein jab Zahra nau maah ki haamilah thi to unke shohar aur walid ki jaanib se unke phone na uthane par pareshaan hona fitri tha. Shayad isi liye woh Zahra se rabta karne ki musalsal koshish kar rahe thay.
Magar unke wohm o gumaan mein bhi na tha ke Zahra ke saath unki saas (jo unki sagi khaala bhi hain) aur nandhon (yaani unki cousins) ne kya zulm kiya hai.
Pakistan ke soobay Punjab ke zila Sialkot ke ilaqay Daska mein jab Zahra Qadeer par kiye gaye zulm ka raaz afsha hua to poora ilaqa is holnaak waaqiaat se sakte mein aa gaya.
Police ne ibtidaai tafteesh mein dawaa kiya hai ke Zahra Qadeer ko mabni tor par unki saas aur nandhon ne rishtedaron ki madad se qatal karne ke baad unki laash ke tukray kiye aur boriyaan mein band karke qareebi naalay mein baha diya.
Zahra Qadeer ko jab qatal kiya gaya to woh na sirf ek bache ki maa thin balki nau maah ki haamilah bhi thin.
Zahra ke qatal ka ilm kaise hua?
Zahra Qadeer ke walid, Shabbir Ahmed, ko jab Zahra ki khairiyat se mutaliq tashweesh hui, to woh foran uske susral gaye taake apni beti ki khairiyat ke bare mein jaan saken. Magar wahan pohanchne par unhein Zahra ki saas ne bataya ke woh ghar par nahi hain.
Yeh baat Shabbir Ahmed ko kuch khatki. Shabbir Ahmed khud bhi Punjab Police mein batoor Assistant Sub-Inspector khidmat anjam de rahe hain.
Unhone BBC Urdu ko bataya, "Main Zahra ko call karta raha magar jawab nahi mil raha tha. Jis ke baad main khud Daska chala gaya."
Shabbir Ahmed kehte hain, "Jab main Zahra ke susrali ghar mein dakhil hua to wahan par unki saas aur Zahra ki nand maujood thin.
"Main ne ghar ke markazi darwaze se dakhil hote hi 'Zahra, Zahra' ki awazen lagani shuru kar di. Jis par Zahra ki nand ne mujhe kaha ke Zahra nahi hai. Jab main ne poocha ke kahan gayi hai to usne kaha ke humein kya pata, zevar, paisay waghera le kar bhag gayi hogi."
Shabbir Ahmed ke mutabiq, jab Zahra ki nand ne unki beti par ilzaam aaid kiya ke woh ghar se bhag gayi hai, to main ne unse poocha, "Sach batao, Zahra kahan hai? Kaise aur kyun bhag gayi?"
Shabbir Ahmed kehte hain, "Wahin mujhe meri chhatti hiss ne kaha ke kuch bohot bura ho chuka hai."
Shabbir Ahmed ne bataya ke woh na sirf Zahra ke kamray mein gaye balki ghar ke deegar kamron mein bhi use talash kiya. Wahan unhein ek ghair mamooli baat mehsoos hui aur woh yeh thi ke Zahra ka 2.5 saal ka beta bhi ghar par tha aur ‘ghar ko bohot zyada saaf kiya gaya tha, farsh dhoya gaya tha.’
‘Bas yeh dekh kar mera dil baith gaya aur maine foran apne bade bhai ko phone kiya aur sath mein maqami thanay ke ilawa 15 par call kar di.’
Shabbir Ahmed ka dawa hai ke police ko ittila dene ki ek wajah yeh bhi thi ke ‘unki beti ko maazi mein bhi susral mein ek baar maarne ki koshish ki gayi thi.’
Jab Shabbir Ahmed ko apni beti susral mein na mili to unhone Daska ke maqami thanay mein Zahra ke susral walon ke khilaf uske ‘aghwa’ ka parcha darj karwa diya.
Darj police muqaddame mein kaha gaya ke ‘Das November ko beti ke phone number par callen ki magar koi jawab nahi mila. Susral walon se poocha to unhone kaha ke subah saat baje kahin chali gayi thi jabke uska 2.5 saal ka beta ghar hi mein mojood hai.’
Darj muqaddama mein yeh bhi kaha gaya ke ‘is se pehle bhi Zahra ko susral mein maarne ki koshish ki gayi thi. Is liye unhein khauf hai ke Zahra ko uski saas, teen nandon aur unke ek azeez ne ghaib kar diya hai.’
Saas aur nandon ne aitraf-e-jurm kaise kiya?
Sialkot police ke tarjuman Waqas Ali ke mutabiq, jab Shabbir Ahmed ki darkhwast par maqami police ne karwai ki aur muqaddama darj hone ke baad Zahra ke susral walon se tafteesh ki, to maqtoola ki saas aur nand ne inkishaaf kiya ke unhone apne rishtedaron ki madad se Zahra ko qatal karne ke baad uski laash ke tukray karke naalay mein phaink diye hain.
Police tarjuman Waqas Ali ne daawa kiya ke mulziman khawateen ne police ke samne aitraf-e-jurm karte hue is holnaak waqia ki sari tafseelat bata di aur qatal mein istemal hone wala toka aur chhuri bhi baramad karwa di.
Daska police ke ek tafteesh kar ne bataya ke Zahra Qadeer ka qatal poori mansoobabandi ke sath kiya gaya.
Unka kehna hai ke tafteesh aur mulziman ke aitrafi bayanaat ke mutabiq: "Raat gayi jab khatoon (Zahra Qadeer) kambal oodh kar soi hui thin, to unki saas ne unhein tangon se pakda, doosri khatoon (nand) ne bazu se, aur phir madadgaaron ne munh par kambal rakh kar saans band karke Zahra ko qatal kar diya."
Post-mortem report ke mutabiq, "Zahra ko saans rok kar pehle qatal kiya gaya aur phir unke jism ke tez dhaar aale se tukray kiye gaye."
Daska police ke tafteesh kar ne bataya ke maqtoola ko unki saas aur do nandon ne qatal kiya. Is qatal mein unki madad ek nand ke betay aur doosri nand ke qareebi azeez ne ki jo Lahore se bulaya gaya tha.
Tafteesh kar ke mutabiq, jurm ka saboot chhupane ke liye mulziman ne toke aur chhure ki madad se laash ke paanch tukray kiye aur bori aur plastic bags mein band karke naalay mein door door phaink diya.
Police ke mutabiq, laash ke tukray phainkte hue yeh bhi khayal rakha gaya tha ke unhein door door phainka jaye taake yeh qatal ek maamla bana rahe.
Zahra ki laash ki talash
Jab is bhayanak jurm ka parda chaak hua, to police, rescue ahalkaron aur ilaqa makinon ne foran Zahra ki laash ke tukron ko talash karne ka kaam shuru kar diya.
Ahalkaron ke mutabiq, subah se shaam unhein sirf do boriyaan mili jin mein laash ke tukray band thay, magar plastic bags nahi mile. Taham phir raat ke andhere mein bhi talash jaari rakhi gayi aur aakhirkar kamiyabi hui.
Rescue ahalkaron ke mutabiq, maqtoola ka sar aur baazu kaat kar alag alag shopping bags mein daale gaye thay. Dhar ko bhi do hisson mein kaat kar do boriyaan mein band kiya gaya tha.
‘Beta mukammal tor par bahu ki giraft mein aa jayega’
Zahra Qadeer ke walid Shabbir Ahmed apni beti ke mutaliq baat karte hue batate hain: “Unki beti ki chand saal qabl apne khalazad Qadeer ke sath shadi hui thi jo ke chhe behnon ka aklota bhai hai aur Saudi Arab mein kaam karta hai.”
Unka kehna tha ke shadi ke baad Qadeer Zahra ko apne sath Saudi Arab le gaya tha. Woh aksar auqaat Pakistan aati rehti thi aur unka ek 2.5 saal ka beta bhi hai. “Zahra taqreeban ek mah pehle hi Saudi Arab se Pakistan aayi thi. Is doran woh mere paas rehish pazeer thi aur waqia se teen roz qabl apni saas aur nandon ke kehne par unke ghar Daska gayi thi.”
Shabbir Ahmed kehte hain ke unki ahliah ne unki beti ka rishta apni zindagi mein hi apne bhanje se tay kar diya tha.
“Shadi ke baad Qadeer aur Zahra ek doosre ka bohot khayal rakhte the. Dono mein bohot mohabbat thi. Woh khud Saudi Arab mein tha aur aksar Zahra ko bhi Saudi Arab bula leta tha.”
Police tafteesh kar ke mutabiq, “Ibtidaai tafteesh ke mutabiq Qadeer ki maan aksar yeh ilzam lagati thi ke maqtoola ne uske bete par jadoo kar diya hai. Is buniyad par aksar ghar mein larai jhagray bhi hote rehte the.”
Police ka dawa hai ke ibtidaai tafteesh mein mulzima ne police ko yeh bhi bataya hai ke, “Unka beta apni biwi ka bohot khayal rakhta tha, usko paisay waghera bhi deta tha, jo ke unse bardasht nahi hota tha.”
Police ke mutabiq: “Ab jab maqtoola dobara haamilah thi, to mulzima khatoon ka khayal tha ke ab unka beta mukammal tor par bahu ki giraft mein aa jayega.”
‘Soch bhi nahi sakta koi itna zaalim bhi ho sakta hai’
Zahra ki laash talash ke liye rescue operation mein hissa lene wale ek ahalkar ne BBC ko bataya: “Woh soch bhi nahi sakte the ke koi itna zulm bhi kar sakta hai. Qatal karna alag baat hai, magar qatal ke baad laash ke tukray karna yeh bohot hi zalimana amal hai.”
Zahra ki tadfeen ke liye mayyat ko ghusl dene wali khatoon kehti hain: “Jism ke in paanch tukron ko ghusl dena zindagi ka bhayanak tareen tajurba hai. Woh soch bhi nahi sakti thin ke koi insan kisi insan ke sath yeh sulook bhi kar sakta hai.”
Maqtoola Zahra ke walid Shabbir Ahmed ka kehna hai ke unki ahliah paanch saal qabl wafat paa gayi thin, jis ke baad unke dukh sukh ki saathi unki akloti beti thi.
“Mulzimon ko main kabhi maaf nahi karunga. Unko anjaam tak pohchaoonga. Magar beti ki yaad ek pal ko chain nahi lene deti.”
Read More
Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.
40 saal ki umar ke baad insani dimagh mein kya tabdeeliyan aati hain aur ise sehatmand kaise rakha ja sakta
Credit :- BBC.COM/URDU