Also Read
Aap kaise is baat ka tayun karte hain ke sar dard mein kaun si dawa khayein aur pait ya kamar ke dard mein kaun si?
Bazaar mein paracetamol, ibuprofen, aur aspirin mukhtalif branding aur packaging mein milti hain. Magar yeh jan'na zaruri hai ke in mein se kis dawa ka kya kaam hai.
Dard se nijat dilane wali dawaon mein koi goli ki shakal mein aati hai, koi capsule to koi syrup. Aur haan, kuch ki packaging par hi likha hota hai ke in se ‘fast relief’ yani jaldi aaram milega. Magar kya yeh daaway sach hote hain?
University of Aberdeen mein clinical pharmacology ke senior lecturer Dr. Mary June McLeod ke mutabiq, humein dard asabi saron par zoar padne ki wajah se hota hai. Yeh muhrikaat ya to soojan ya prostaglandin ke ikhraj ki wajah se hoti hain. Prostaglandin charbi ke af’aal jesa hota hai jo hormones ki tarah kaam karta hai.
Unke mutabiq tamaam painkillers ya dard khatam karne wali adwiyat ya to soojan par asar karti hain ya prostaglandin ke ikhraj ko control karti hain. Magar in adwiyat ke kaam karne ka tareeqa thoda mukhtalif hota hai.
Painkillers aur unka kaam
Halaanke aspirin aur ibuprofen ki tarah paracetamol pathon ki soojan par itne moassar andaaz mein kaam nahi karti, misaal ke tor par takhne ke murh jane ya mahwari ke dard mein. Lekin yeh teenon hi adwiyat baghair steroid wali anti-inflammatory adwiyat ke tor par darja band hain.
Aap paracetamol ko ibuprofen ya aspirin ke sath mila kar istemal karein to shadeed dard se nijat hasil karne mein kamiyab ho sakte hain. Magar is baare mein miqdar ka khaas khayal zaruri hai. Do adwiyat aisi nahi honi chahiyein jin mein paracetamol ho. Ek khoraak mein zyada paracetamol lena nuksaan deh sabit ho sakta hai.
Painkillers ka intekhab aur logon ki soch
Dard se larnay wali adwiyat ya painkillers kharidte waqt aam tor par log is ki qeemat par ghoro fikr karte hain. Is ke ilawa hamare gharon mein walidain chhote motay dard se nimatne ke liye kaun si dawa lete rahe hain, iska bhi hamari zehniyat par asar padta hai. Hum bhi aam tor par sar dard ya gale ke dard mein wahi dawaein lete hain jo hamare bade lete the.
Bazaar mein kai qisam ki painkillers milti hain. Un ki packaging aur unhein banane wali company ki saakht bhi yeh tay karti hai ke un ki qeemat kya hogi. Kai ki packing par likha hota hai ke woh dard ke khilaf jald asar karti hain. Aisi adwiyat mein aam tor par caffeine bhi shamil hoti hai aur un ki qeemat baaz martaba 6 se 7 guna zyada hoti hai.
Painkiller goli ki shakal mein hai, capsule ya phir syrup, yeh tay karta hai ke woh kitni jald asar karegi.
- Tablet ya goli ke jism mein dakhil hone par jazb hone mein zyada waqt lagta hai.
- Jab ke syrup yani ma’ei adwiyat jald jazb ho jati hain, is liye jald moassar bhi sabit hoti hain.
- Jab ke jazb hone mein lagne wale waqt ke maamlay mein capsule in dono ke darmiyan aati hai.
Yeh adwiyat dard ka muqabla karne mein khud itni moassar nahi hoti hain jitni samjhi jati hain. Paracetamol darhaqeeqat sirf 30 se 40 percent hi dard se nijat dilati hai. Lekin jab is mein caffeine shamil hoti hai to woh dard mein mazeed 10 percent kami lane mein madad karti hai.
Aam tor par caffeine ke sath aane wali painkillers thodi mehngi bhi hoti hain. Aap chahein to unhein kharidne ke bajaye aam paracetamol ek cup coffee ke sath kha sakte hain. Woh bhi usi tarah moassar sabit hoti hai jaise caffeine mili hui paracetamol khana.
Sar dard, ghatne ke dard ya mahwari ke dard mein kya alag alag qisam ki painkillers leni chahiyein?
Kai companies painkillers ki packaging par likh kar bechti hain ke woh kis dard ke liye khaas mo’aqooliyat rakhti hai. Lekin is baat ke koi shawahid ab tak mojood nahi ke kisi khaas qisam ki painkiller kisi khaas qisam ke dard ko kam karne ke liye zyada mo’asar sabit hoti hai.
Dr. Moore kehte hain, ‘Mujhe ilm nahi agar in dawaon ke daaway ke peeche koi scientific haqa’iq hain.’
Lekin saath hi woh mashwara dete hain, ‘Agar aapko lagta hai ke koi khaas qisam ki painkiller aapke liye behtar sabit hoti hai, to yeh zabardast baat hai. Kyunke aakhir kar banda yahi to chahta hai ke usko dard se nijat hasil ho jaye. Aur bas isi mein hamari dilchaspi honi chahiye.’
Magar aakhir mein wahi baat ke apne kisi marz ke liye khud se dawa lene se guraiz karein aur kisi bhi tibi maslay ki surat mein apne ma’alij se rujoo karein, apni haalat ke baare mein unhein aagah karein taake woh aapki bimari ya sehat ki surat-e-haal ko madde nazar rakhte hue aapke liye koi dawa tajweez kar sakein۔
Read More:
Duniya ka badtareen dard dene wali bemari
Kya khanay ke sabab bhi aap ko sar dard ho sakta hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU