Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.

Also Read

 

Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.

Aaiye ek bohot hi aam soorat-e-haal ka tasawwur karein. Do log tezi se chalte hue sadak par ek doosre ke qareeb se guzar rahe hain. Woh dost, saathi kaarkun ya jaanne wale ho sakte hain. Unmein se ek ne salaam karte hue kaha, "Aap kaise hain?" Khud ba khud, doosra jawab deta hai: "Chhodain ji, itna kaafi nahi hai." Thodi der baad har ek apne andaaz se baat aage badhata hai.

Mukhtasir mulaqat ke shuru hote hi gile shikwe shuru ho jaate hain.

21wi sadi mein taraqqi yafta mu'ashray mein bhi is qism ke rawaiye samaji rabton ka zariya bane hue hain. Darhaqeeqat, traffic, mausam, kaam ya maali mushkilat ke baare mein shikayatein sun'na kaafi mamooli baat hai. Bohat se logon ke liye ye be-zarar aur hatta ke behtari ki alamat hai kyunke is se jazbat ka izhar hota hai.

Taham, baat baat par shikayat karne walon aur afsosnaak tabsaray sun'ne walon dono par iska jazbati, zehni, aur hatta ke jismani sehat par bhi numayan asar hota hai.

Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.

Rozmarra ka Waqia

Yahan hum manfi samjhe jane wale halaat ki wajah se adam itminan, mayoosi ya takleef ke baar baar izhar par tawajju denge. Yeh taqreeban ek aalmi masla hai jo khandan, kaam aur samaji siaaq o sabaaq mein mazeed dekha ja sakta hai.

Kabhi kabhar shikayat insani jabillat hai. Jazbati aur jismani thakan tab hoti hai jab ye manfi mizaj hamare rozmarra ke mamoolat par asar انداز کرتے ہیں۔

Magar hum itni shikayat kyun karte hain?

Kuch mahireen ka maanna hai ke aisa is liye hota hai taake pareshaani khatam ho sake ya iska maqsad apne mo'oqaf ki taa'ed hasil karna hota hai.

Is waqt tak ye hamare samaji rabton ke liye ek hikmat-e-amli hai jo ke insan khud ikhtiyar karta hai. Masla tab hota hai jab ye tarz-e-amal mustaqil aadat mein badal jaye.

Yeh ek aisi soorat-e-haal hai jo social networks ke istemal aur phir ghalat istemal se badtar hoti jati hai, jahan nojawanon aur ba-asar users ke liye yeh aam si baat ban jati hai ke woh apne followers ki tawajju hasil karne ke liye ya khaas behas chhedne ke liye ye sab karte hain.

Dimagh aur Zehni Sehat Par Asraat

Agarche ye tehqiqat ka ek ahem shoba hai aur is ke liye mazeed mutali'aat ki zarurat hai, neuroscience ne pehle hi shikayat ki 'aetiology' yani har cheez ke liye zimmedar kisi aur cheez ko qaraar dene ki rosh aur uske nataij ka jaiza liya hai.

Mukhtalif tehqiqat se is baat ki tasdeeq hui hai ke insani dimagh ko khatrat aur masail ki nishandahi karne ke liye design kiya gaya hai, jo yeh batata hai ke 'manfiyat' par tawajju markooz karna itna aasaan kyun hai aur kyun kuch log doosron ke muqable mein zyada shikayat karte hain.

Yeh ek irtiqa'i tareeqa kaar bhi hai. Insani dimagh manfi baaton par tawajju markooz karta hai kyun ke usne isay hazaaron saal pehle haqeeqi khatre ko dikhaya tha aur is ke zinda rehne ke imkaanat mein izafa hua tha.

Yeh asar jise manfi ta'assub kaha jata hai, jadeed mahaul mein nuqsan deh ho sakta hai kyun ke 'buri cheez' par musalsal tawajju markooz karne se logon ke duniya ko dekhne ke andaaz mein tabdeeli aa sakti hai aur is tarah shikayat par mabni nayi baat cheet ko farogh diya ja sakta hai.
Kuch mutala'at se pata chalta hai ke har waqt shikayat ya pashtawa ka amal dimagh mein saakhti tabdeeli ka sabab ban sakta hai jiske nateejay mein, masail ko hal karne aur doosray masail paida hote hain.
Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.


Kuch mutala'at se pata chalta hai ke har waqt shikayat ya pashtawa ka amal dimagh mein saakhti tabdeeli ka sabab ban sakta hai jiske nateejay mein, masail ko hal karne aur doosray masail paida hote hain.

Iska matlab yeh hai ke shikayat karnay walay masail ko hal karne, faisla saazi ya mansuba bandi jaise kaamon ko kam hotay dekh sakte hain. Yeh aur bhi mayoosi paida karta hai aur nateejatan, zyada shikayatein paida hoti hain. Yeh bhi dekha gaya hai ke rozana ki shikayaton ka talluq bechaini aur afsurdagi ki alamaton se hota hai.

Isse mushtarekh khayali, afwaah, kam khud itimadi, thakan aur zehni thakan jaise masail paida hote hain, jo log har cheez ke baare mein shikayat karna band nahi karte, woh mushkilat ka samna karte hue zyada mayoosi aur kam lachakdar hote hain.

Rawaiya Badalne Ki Hikmat-e-Amli

Manfi rawaiye se nikalne aur zehni pareshaani se nikalne ke liye chand rahnuma usoool yeh hain:

Shukrguzaar rahain:
Hamare paas jo kuch hai us par tawajju markooz karte hue is lamhe par tawajju markooz karna shukr guzaari ko farogh deta hai. Jo naimatain humein mayassar hain unka idraak hamare nuqta-e-nazar ko badal deta hai.

Hal talash karein:
Kisi soorat-e-haal ko behtar banane ke liye mumkin qadam uthane se humein control ka ehsas milta hai aur yeh karna mayoosi ko kam karta hai.

Apni baaton par tawajju dein:
Psychoneuro linguistics humein sikhati hai ke hum jo zuban istemal karte hain us se aagah rehna aur usay zyada positive ya ghair janibdar banane mein hamari soch badalne mein madad mil sakti hai.

Doosron ke saath hudood tay karein:
Yeh ek hifazati tareeqa hai. Iska matlab hai ke aisi guftagu se gurez karein jis mein manfi rawaiya ho ya masail ke liye zyada tameeri nuqta-e-nazar tajweez karein.

Beshak, musalsal shikayat karne ki ghair sehatmand aadat se aagah hona aur isay badalne ki koshish karna mi'aar-e-zindagi behtar banane ke liye zaroori hai. Ye ek aisa maqsad hai jo har fard ki zaati nash-o-numa ka hissa hai aur isay nafsiati ilaaj ki madad se taqwiat di ja sakti hai.

Is se pehle ke aap dobara shikayat karein, iske saath aane wale dimaghi, jazbati aur samaji asraat par ghour karein. Aur yaad rakhein ke shikayat karna manfi rad-e-amal nahi hai magar kahin ye aadat na ban jaye. Hum kaamil nahi hain, hum insaan hain۔


Read More:
Daska mein Zahra Qadeer ka qatal: ‘Betti ke susral mein dhula farsh dekha to chhatti hiss ne kaha kuch bohot bura ho chuka Hai 
40 saal ki umar ke baad insani dimagh mein kya tabdeeliyan aati hain aur ise sehatmand kaise rakha ja sakta hai?
Crédit :- BBC.COM/URDU