Aakhri lamhat mein dimagh 'zindagi ko aakhri martaba' yaad karta hai.

Also Read

Aakhri lamhat mein dimagh 'zindagi ko aakhri martaba' yaad karta hai.

 Science ki duniya mein ek 'haadse' se maloom hota hai ke mout se ain pehle ke lamhat mein hamari zindagi hamari aankhon ke samne se aakhri martaba guzarti hai.

Is nazriye ki ek jhalak scientists ki ek team ko us waqt dekhne ko mili jab unhon ne Mirgi (Epilepsy) ke ek 87 saal ke mareez ke dimagh se nikalne wali lehron ka mushahida kiya.

Jis waqt mazkoor mareez ke dimagh ki lehron ko record kiya ja raha tha, mareez ko achanak dil ka dora para aur woh lamhat bhi record ho gaye jab uski mout ho rahi thi.

Is recording se inkishaaf hua ke dimagh ke ghair fa’aal hone se 30 seconds pehle aur baad mein, is shakhs ke dimagh mein wohi kuch ho raha tha jo khwab mein hota hai ya us waqt jab hum zindagi ke purane waqiyat yaad kar rahe hote hain.

Scientists ki team ke in mushahidaat ko dimaghi (aasabi) science ke jareede Frontiers in Aging Neuroscience ne 23 February ko shaya kiya hai. Team ne apne maqale mein likha hai ke dimagh ke andar is qisam ki halchal se lagta hai ke aakhri lamhat mein insani dimagh 'zindagi ko aakhri martaba' yaad karta hai.

Team mein shamil Dr. Ajmal Zamar un dino Canada ke sheher Ontario mein muqeem the. Jareede mein shaya hone wale maqale mein unka kehna tha ke haadsati tor par team ne jo lamhat record kiye woh kisi marne wale shakhs ke dimagh mein aanay wali tabdeeli ki duniya ki pehli recording thi.

‘Yeh cheez bilkul achanak ho gayi’

BBC se baat karte hue Dr. Ajmal Zammar ka kehna tha, "Yeh cheez bilkul achanak ho gayi. Hamara yeh tajurba karne ya (dimagh se nikalne wale) in isharon ko record karne ka koi irada nahi tha."

Dr. Ajmal Zammar kehte hain, "Yeh batana namumkin hai ke hum sab ko yun (marte waqt) apne pyaron ke saath guzare hue waqt aur khushgawar yaadon ki jhalak dekhne ka mauqa milega ya nahi."

"Agar main falsafe ki duniya mein kood kar dekhoon to (yehi kahunga ke) agar hamara dimagh guzare waqt ko yaad karta hai, to shayad dimagh achi cheezon ki yaad dilaye, na ke buri yaadon ki."

"Lekin kisi shakhs ke liye kya cheez yaadgaar thi, yeh har shakhs ke liye mukhtalif hogi."

Dr. Zammar, jo aaj kal America ki riyasat Kentucky ke University of Louisville mein neuro-surgeon ke tor par kaam kar rahe hain, unka mazid kehna tha ke jab dil kisi (marne wale) shakhs ke dimagh ko jane wale khoon ko band kar deta hai, to isse pehle ke 30 seconds mein us shakhs ke dimagh ki lehron mein wohi tabdeeli dekhi gayi jo bohot zyada dimaghi kaam karte hue nazar aati hai, jaise kisi cheez par poori tawajjo markooz karte hue, khwab dekhte hue, ya bhooli basri baatein yaad karte hue hoti hai.

Mazkoor mareez mein yeh amal dil ke band ho jane ke 30 seconds baad tak jaari raha. Yeh wohi lamha hota hai jab aap kisi shakhs ko murda qarar de dete hain.

Dr. Zammar ka kehna tha, "Mumkin hai yeh woh lamhat hon jab humein zindagi ka aakhri martaba ehsaas hota ho, aur hamara dimagh hamari zindagi ki yaadon ko maut se pehle aakhri martaba yaad karta ho."

Is tehqiqat se yeh sawaalat bhi samne aate hain ke aakhir zindagi kis khaas lamhay par khatam hoti hai—jab dil dhadakna band kar deta hai ya dimagh kaam karna band kar deta hai?

Yeh mushahidaat apni jagah, taham Dr. Zammar aur unki team ne mutanabbeh kiya hai ke unki is wahid tehqiqat se wasee natayij nahi akhaz kiye ja sakte. Chunke mazkoor shakhs mirgi ka mareez tha aur uske dimagh se khoon nikal raha tha aur usmein soojan bhi thi, isse (ho sakta hai) yeh maamla pechida ho gaya ho.

"Main kabhi bhi is ek maamlay ke baare mein nahi batana chahta tha." Yeh wajah hai ke 2016 mein mazkoor mareez ke dimagh ki recording ke baad Dr. Zammar apne tajziye ko taqat dene ke liye kai baras tak isi qisam ke mushahidaat ki talaash mein rahe, lekin woh kaamyab na ho sake.

‘Marnay se ain pehle ke lamhat ka koi roohani pehlu bhi hai’

Taham, ho sakta hai ke 2016 mein choohon par ki gayi ek tehqiqat se humein kuch isi qisam ke isharay mil jayein.
Aakhri lamhat mein dimagh 'zindagi ko aakhri martaba' yaad karta hai.

Is tehqiqat mein kuch Amreeki scientists ne yeh dekha tha ke choohon ke dil ki dhadkan band ho jane ke 30 seconds baad jab woh mar rahe thay, to unke dimaghon se bhi nikalne wali lehron mein bohot izafa ho gaya tha. Dr. Zammar ne bhi mirgi ke mareez mein yahi mushahida kiya tha.

Dr. Zammar kehte hain ke in dono maamlat mein jo mutabiqat dekhne mein aati hai woh ‘hairan kun’ hai.

Dr. Zammar aur unke saathiyon ko umeed hai ke ek insan ke aakhri lamhat ke hawale se unki tehqiqat ke manzar-e-aam par anay se is shehbe mein mazeed tehqiqat ke darwaze khul sakte hain.

Mera khayal hai ke marnay se ain pehle ke lamhat ka jo silsila hai, iska koi aarifana aur roohani pehlu bhi hai. Jis qisam ka mushahida humne kiya hai, yahi to woh lamha hai jis ke liye scientist apni tamaam umr guzardete hain.

Read More:
Baat baat par shikayat karenge to bemaar par jayenge.
Kanon ki mail se zehni tanau ki satah ka andaaza lagana mumkin ho sakta hai.
Crédit :- BBC.COM/URDU