Ramzan ke aate hi iftar o sehr ka zikr shuru ho jata hai aur duniya bhar mein rehne wale musalman Ramzan ke mubarak mahine ka ehteram karte hue roza rakhte hain aur khawateen khana roza dari ke saath iftar ke ehtemam mein masroof ho jati hain.
Jab Islam ka sitara chamka aur Ramzan ke roze ki ibtida hui us waqt iftar sada hota tha jismein tazgi khajoorain aur oontni ka doodh shamil the. Joon joon Islam ka daira wase hota gaya, us ke zair e asar anay wale mumalik ke pakwan iske dastarkhwan mein shamil hone lage.
Behar haal, iftar ka ek mukhtalif hi qism ka dastarkhwan hota hai. Kuch pakwan aur ghizayein aisi hain jo mah-e-Ramzan mein hi banayi jati hain aur log saal bhar unke liye Ramzan ka intezar karte hain.
Jinhon ne salha saal Dehli ka tamaddun dekha hai wo is baat ke gawah hain ke iftar ka dastarkhwan khatoon-e-khana ki khana dari aur saleeqa mandi ka namoona hua karta tha. Khajoor, chatpati daal, Shami kabab, Qalmi baday, Palak ke patay, Dahi ke phulke, phalon ki chaat, sharbat ke katoore waghera.
Iftar pehlay nazdeeki masjid mein bheja jata tha aur phir dastarkhwan ki zeenat banta tha. Azan hotay hi bachay shor machatay gali gali dor jate.
Moazzin ki awaaz patakhon aur dhol ki thaap mein gum ho jati aur manaray par lagi roshni iftar ke waqt ka elan karti thi.
Roze walay, roza kholo
Duniya bhar mein iftar ke mukhtalif manazir hote hain. Aaiye duniya ke chand ahem Islami mumalik ke iftar par nazar dalte hain.
Makka mein Iftar
Sabse pehlay zikr is muqaddas sheher ka jo Makka Sharif kehlata hai. Ramzan ki amad ke saath hi Makka mein zaireen ki tadaad barhni shuru hoti hai aur log Kaaba ke samne baith kar roza iftar karna zindagi ka sabse bara lamha samajhte hain.
Makka mein bichhaye jane wale dastarkhwan ki lambai 12 kilometer hai jo Kaaba ke gird lagaya jata hai aur jahan rozana lakhon roze daar iftar karte hain aur ek andazay ke mutabiq in par das lakh Saudi Riyal sirf hote hain.
Yeh duniya ki sabse bari iftari hai jo sirf 10 minute mein simat jati hai aur farsh dhul kar saaf ho jata hai. Rozana 50 lakh khajoorain aur 20 lakh Aab-e-Zamzam ki bottles iftar ke dastarkhwan par sajayi jati hain. SubhanAllah, Kaaba Sharif ki ronaq, Allahu Akbar.
Indonesia mein Iftar
Indonesia woh mulk hai jahan musalmanon ki abadi 90% hai. Yahan ke log Khuda-tars aur mazhab-parast ke saath sulah-kul hain. Indonesia mein iftar karne ko
“Berbuka Puasa” kehte hain. Shaam hotay hi Indonesia mein zindagi ki lehar dor jati hai. Roshni se shehar jagmaga uthtay hain aur bazaron ki ronaq do-baala ho jati hai.
Yahan bhi log aam tor par khajoor se iftar karte hain. Is ke ilawa kisi meethi naram cheez se bhi iftar shuru karte hain taake din bhar ka bhooka pait baghawat na karde.
Khajoor ke saath hi Ondeh Ondeh ki goliyan khayi jati hain. Yeh wahan Ramzan ki khaas ul khaas ghiza kahi jati hai. Padaan ke patay (jo Kewra ke patay ke mushabeh hain) ko pees kar ismein khajoor ka sheera mila kar choti choti goliyan banayi jati hain aur is par tazah nariyal ke tarashe chirak diye jate hain. Is ke ilawa plastic ki theliyon mein noodles aur nashasta ki goliyan, pandan ke sharbat ke saath bazar mein dastiyab hoti hain.
Iftar ke dastarkhwan par beef samosa, bala bala (halki tali mosmi sabzian), Mee Goreng (masalaydar noodles), Kolak (Shakarkandi aur kela ke tukray nariyal ke doodh aur khajoor ke pire ke saath), Martabak aur mosmi phal waghera hote hain.
Malaysia mein Iftar
Malaysia mein bhi musalmanon ki kaseer abadi rehti hai aur wahan bhi Ramzan ki munasbat se sehr o iftar ke mazhabi aur ijtimai program tarteeb diye jate hain. Yahan bhi iftar ko
“Berbuka Puasa” kehte hain. Ramzan bhar yahan ki masajid mein ghareebon ke iftar aur khane ka intezam bari farakh dili se karte hain.
Iftar ke dastarkhwan par ganay ka ras, soybean, doodh mein nashasta ke rangeen tukray, mukhtalif qism ke Satay, Lambuk (nariyal ke doodh mein gosht aur halkay masale mein paka hua daliya), murgh aur chawal pulao, Martabak, Bubur Lambuk (chaawal ka rawaity pakwan) hote hain.
Iftar ka sabse bara ehtemam Kuala Lumpur mein hota hai jahan roze ki fazilat aur masawaat ka zikr hota hai. Is mein taqreeban 30 hazar log shamil hote hain aur yeh Malaysia ka sabse bara iftar hai jis mein khawateen bhi shamil hoti hain.
Misr mein Iftar
Misr mein bhi Ramzan ka mahina apne khoobsurat andaaz mein jalwa gar hota hai. Misr mein Ramzan ke saath Fanoos, Qandeel aur chiragh ki dilchasp riwayat judi hai. Roshni ke yeh manba mah-e-Ramzan se aise jude hain ke is mahine ke aaghaz se qabal hi iski khareed o farokht shuru ho jati hai.
Misr mein iftar ke thal sajaye jate hain taake har shakhs har tarah ki ghiza ka lutf utha sake. Khajoor ke saath khushk meway injir aur kishmish, zard aaloo ka salad, Ramzan ka makhsoos sharbat Amar El Deen aur Kunafa wahan iftar ki khaas dish hain. Kunafa ka taluq sahr o iftar dono dastarkhwan se hai.
Salma Hussain khana pakane ki shauqeen, maahir tabaakh aur khanon ki tareekh navis hain. Unki Farsi zaban-dani ne ahd-e-wusta ke Mughlai khanon ki tareekh ke asrar o ramooz un par khole. Unho ne kayi kitabein bhi likhi hain aur baray hotels ke saath food consultant ke tor par bhi kaam karti hain. Salma Hussain hamare liye mazameen ki ek series likh rahi hain.
Read More:
Hare bhare saag sehat ke raag
Ghazaiyat ka Power-House jar wali sabziyan
Crédit :- BBC.COM/URDU