Ek qisam ki khuraak par zindagi mumkin hai?

Also Read

Ek qisam ki khuraak par zindagi mumkin hai?

Rawayti tor par yeh samjha jata hai ke apni ghiza mein anwaa o aqsam ke ajza ko shamil karna zyada faida mand hai. Lekin agar halat aise hon ke aapko zinda rehne ke liye sirf ek cheez khane ko mayassar ho, to woh kaun si cheez hogi?

Koi shakhs sirf double roti par to zinda nahi reh sakta, warna maheenay bhar mein usko scurvy ka marz lahiq ho jayega jisme insani jism mein vitamin C ki kami waqe ho jati hai.

Ghiza ki behtareen mansooba bandi wohi hoti hai jin mein mukhtalif tarz ki ghizain shamil hon, jin ki madad se insani jism mein vitamin C, folad, aur doosri ghizaiyat se bharpoor ajza ki kami na ho.

Hatta ke woh dieting plans jin mein tawajjo chand makhsoos ajza par hoti hai, un mein bhi anwaa o aqsam ki cheezein shamil hoti hain jin ki madad se insan ko ghizaiyat se bharpoor khana milta hai.

Lekin phir bhi, agar tasavvur karein ke aapko zinda rehne ke liye sirf ek cheez khane ko naseeb ho, to kya woh ghiza apni afadiyat mein doosri ghizaaon se zyada mufeed ho sakti hai? Achhi sehat ke liye kya aap sirf aalu ya kele par guzara kar sakte hain?

Ek baat tay hai. Is ghiza ke plan mein sirf gosht, sabzi aur phal nahi honge. Gosht mein na fiber hota hai aur na hi koi vitamin aur doosray mufeed ajza. Phalon aur sabzion mein vitamins zarur hote hain lekin un mein protein bilkul nahi hoti. Yeh zaruri ajza jism ko zinda rakhne ke liye to shayad itne zaruri nahi lekin unko chhodna sehat ke liye ghair munaasib hai.

Ek qisam ki khuraak par zindagi mumkin hai?

Saraa saal barfaylay qutb-e-shumali mein tehqeeq karne wale Vahlmar Stefansson ne shumaali Canada mein rehne wale afrad ke baare mein bataya ke wahan ke rehayshi sirf khargosh ka gosht khane ki wajah se beemar ho jate hain aur unhein ishal aur doosri takaleef shuru ho jati hain.

Yeh khayal bhi kiya jata hai ke jism ke liye zaruri calories ke liye sirf protein par munhasir karna munaasib nahi hai, warna iski wajah se jigar ke kaam karne ki salahiyat asar andaz hoti hai.

Glasgow Caledonian University mein ghizaiyat ki maahir Jenny Jackson ke mutabiq agar gosht, beshtar sabziyan aur phal mayassar nahi hain, to unke badlay aalu khana ek munaasib neem al-badl hai.

Aalu ki khaas baat yeh hai ke nashaste se bharpoor hone ke bawajood is mein badi miqdar mein protein aur insani jism ke liye mufeed amino acids mojood hote hain. Lekin doosri jaanib aalu mein muqarrar mayaar ke mutabiq chiknai ki kami hoti hai. Jenny Jackson ne kaha ke aalu mein vitamins aur namkiat bhi kam hote hain.

Lekin sirf ghizaiyat ke ilawa bhi dekha jaye to khane ke liye sirf ek cheez ka istemal karne mein kai rukawatain hain. Insanon ke jism ke andar aise tareeqay kaar hote hain jo sirf ek cheez ko khane se jism ko rokte hain. Inki madad se agar musalsal ek hi tarah ki ghiza khai jaye to woh khana hazm nahi hota.

Yeh mantaq ke koi aisi ghiza jisme har tarah ki ghizaiyat shamil ho aur isko khane se insan ki tamam ghizai zaruratain poori rahengi, durust nahi hai.

Is baat ko samajhne ke liye zaruri hai ke hum yeh samjhein ke dour-e-jadeed mein ghizaiyat ko kaise tasavvur kiya jata hai.

Ek qisam ki khuraak par zindagi mumkin hai?

Muhaqqiqeen ne 20win sadi ke aghaz mein tehqeeq ke liye istemal hone wale choohon ko kuch makhsoos ghizain dena band kar diya aur is baat ka jaiza liya ke aya woh choohay beemar hue ya mar gaye. Is tehqeeq ki madad se pata chala ke vitamins ki kya ahmiyat hai aur unke na khane se kitna nuqsan hota hai.

Albata yeh baat bhi madde nazar rakhna hogi ke mutawazan ghiza ke fawaid ki maloomat tajurba gah mein kiye jane wale tajurbaat ki madad se 100% durust qarar nahi di ja sakteen.

Insano ko lahiq hone wali wabai bemariyon ke adad o shumaar se yeh baat zahir hoti hai ke mukhtalif anwaa ki sabziyan khana sirf chand sabziyan khane ke muqable mein behtar hai, lekin yeh wazeh nahi hai ke aisa kyun hai.

Agar khane mein hari sabziyan na khai jayein to iske matlab yeh hai ke mustaqbil mein cancer hone ka khatra barh sakta hai.

Jenny Jackson kehti hain ke 'humein yeh sahi tarah se nahi ilm ke kaun si ghiza kis tarah se asar andaz ho rahi hai. Albata hum mojooda maloomat ki roshni mein yeh keh sakte hain ke ghizaiyat hasil karne ke liye kya khana chahiye lekin yeh nahi bata sakte ke hum kya nahi kha rahe hain.'

Is se yeh zahir hota hai ke sirf ek juzz par mabni ghiza waqt aur museebat to zarur bachati hai lekin is se sehat ki kharabi bhi itni jaldi hi hoti hai aur saath saath boreet bhi.

Read More:
Haqiqi khushi dolat se nahi milti: Nayi tahqiqat
Cod liver oil: atharhwin sadi ki badboodar dawa jo kamzor haddiyon ke liye aaj bhi zaruri
Crédit :- BBC.COM/URDU