Also Read
Hum mein se bohot se afraad umar barhne ke sath sath thakan ka shikaar hone ki shikayaat karte dikhayi dete hain aur iska taluq aam tor par ghizai kami se joda jata hai aur jism mein is kami ko poora karne ke liye mukhtalif supplements aur multi-vitamins tajwez kiye jate hain.
Yeh supplements ya vitamins humein goliyon, mashroobat ya powders ki soorat mein mil jate hain jo hamare jism mein mukhtalif vitamins, minerals, calcium, iron aur protein jese ghizai ajza ki kami ko kam karne mein madad dete hain.
Jahan in supplements aur multi-vitamins ke kuch faide hain, waheen inke baaz muzarr asraat bhi hain jo logon ki nazar se ojhal hote hain.
Dr. Sunila Garg ne BBC ko bataya ke "Yeh multi-vitamins sabzi khoron ke liye bhi nihayat ahem hain lekin mukhtalif tarz-e-zindagi ke haamil afraad ke liye multi-vitamins ki tadaad kabhi bhi yaksaan nahi ho sakti. Is liye zaroori hai ke supplements ka istemal hamesha doctor ke mashware se hi kiya jaye."
Dr. Raj Arun ne BBC ko bataya ke apni practice ke dauran unhone 30 se 40 saal ki aisi khawateen dekhi hain jo khud se multi-vitamins ka istemal shuru kar deti hain, tahum yeh baat zehan nasheen karni chahiye ke multi-vitamins ke apne muzarr asraat bhi hote hain. Is liye inke istemal mein bohot mohtaat rehne ki zarurat hai.
Multi-vitamins aur food supplement ke hawale se India ke idaray National Institute of Diabetes, Obesity, and Cholesterol ki Dr. Seema Gulati ka kehna hai, "Shehron mein yeh rivaaj aam hai ke log doctor ke paas jane ke bajaye self-medication ke tehat apna ilaj khud karne lag jate hain.
"Chahe dard ke liye dawa leni ho ya apni alamat ko samajhna ho, iske liye doctor ke bajaye pharmacy ka rukh karte hain aur baaz auqaat inka ilaj ke bajaye yeh dawayen ulta nuqsan pahunchati hain."
Dr. Seema ke mutabiq, "Google ya social networks se maloomat hasil kar ke adwiyat ka istemal barhta ja raha hai. Aur bohot si dawayen doctors ki manzoori ke bagair bhi dastiyab hain jo ke faidemand hone ki bajaye nuqsan deh hai."
"Vitamin A aur Vitamin E ki zyada matra qay aur binai mein dhundla pan ka sabab ban sakti hai"
Albata in supplements ka zyada istemal jism par bhi muzarr asraat chor sakta hai.
Ghizaiyat aur jismani karkardagi par tehqiqat karne wale idaray NDOC ki sarbarah Dr. Seema Gulati batati hain ke Vitamin E aur Omega-3 fat-soluble vitamins hain. In vitamins ko doctor ke mashware ke bagair istemal karna inke jism mein jama hone ka sabab ban sakta hai jo jism mein kai masail ka sabab ban sakta hai.
"Vitamin A aur Vitamin E ki zyada matra baar baar qay hone, binai mein dhundla pan samait deegar masail ka sabab ban sakti hai."
"Agarche Vitamin E blood pressure ko kam kar sakta hai, lekin saath hi yeh phephron ko bhi mutasir kar sakta hai. Lehaza inko doctor ke mashware ke sath hi istemal kiya jaye."
Dr. Seema Gulati ke mutabiq, "Bohat se vitamins jism mein taleel ho jate hain aur agar yeh zyada miktar mein jism mein daakhil ho jayein to yeh bhi fazle ke zariye jism se kharij ho jate hain."
Vitamin B
Mahireen ke mutabiq agar jism mein Vitamin B ki kami waqay ho jaye to isse insani jism par wazeh asraat ho sakte hain, jin mein:
- Jild zard parhne lagti hai
- Thakan aur kamzori ka ehsaas ghalib rehta hai
- Qabz aur gas ke masail ka samna ho sakta hai
- Bhook mein kami waqay hoti hai
- Dil ki dhadkan ki baytareebi aur saans lene mein dushwari ka samna ho sakta hai
Yeh vitamins do mukhtalif shaklon mein dastiyab hote hain jin mein inki matlooba miktar doctor tajwez karte hain. Diabetes ke mareezon ko bhi vitamins tajwez kiye jate hain tahum mahireen ke mutabiq agar sugar ke mareez aise supplements ko bagair kisi wajah ke zyada der tak istemal karein to yeh unke liye nuqsan deh sabit ho sakta hai.
Vitamin D ki zyada miktar se kya masail hote hain?
Sooraj ko Vitamin D ke husool ka qudrati zariya samjha jata hai lekin ab log bahar kam nikalte hain. Agar paidal chalne, khel kud ya jismani mashqon ke dauran sooraj ki roshni jism tak puhanchi to Vitamin D jism mein calcium ko jazb karne mein bhi madad karta hai.
Dr. Raj Arun ke mutabiq "Humein sirf teen maah tak Vitamin D lena chahiye, lekin log is doraniyah ko barha dete hain aur is soorat mein aapko saans lene mein dushwari, haazme ke masail, thakaawat, chakkar aana, uljhan, baar baar peshab ki haajat, high blood pressure aur deegar zamni asraat ho sakte hain."
Dr. Seema Gulati ka kehna hai ke bawajood iske ke log apni sehat ka khayal rakhte hain aur diet ke dauran aisi ghiza ka intikhab karte hain jiska unke jism ko zarurat hoti hai, tahum is dauran khorak ka matlooba tasanuj kharab ho jata hai aur vitamins bhi ghair mutawazan ho jate hain.
Doctors ka kehna hai ke achhi ghizaiyat ka muqabla supplements se nahi karna chahiye kyun ke achhi ghizaiyat jism mein tamam ghizai ajza ki kami ko door karne mein madad deti hai.
Agarche jab khawateen ki umar 30 saal se barhne lage to yeh supplements madad karte hain, lekin yeh zehan nasheen karna zaruri hai ke inhein sirf doctor ke mashware par hi istemal kiya jana chahiye aur iske sath sath yoga aur warzish ko bhi zindagi ka hissa lazmi banaya jaye.
Read More:
Ek qisam ki khuraak par zindagi mumkin hai?
Cod liver oil: atharhwin sadi ki badboodar dawa jo kamzor haddiyon ke liye aaj bhi zaruri
Crédit :- BBC.COM/URDU