Cod liver oil: atharhwin sadi ki badboodar dawa jo kamzor haddiyon ke liye aaj bhi zaruri

Also Read

 

Cod liver oil: atharhwin sadi ki badboodar dawa jo kamzor haddiyon ke liye aaj bhi zaruri

Aaj kal ke dour mein jab cod liver oil ki baat karein to iska matlab ek surkhi mail tail hai aur phir zehan mein Victorian dour ki chamach lehrati hui school nurse ya headmaster ki tasveer ubharti hai.

18win aur 19win sadi ke bohot saare ilaaj waqt ke saath khatam ho gaye hain.

Misaal ke tor par ab rone wale bachon ko afiyoon nahi di jati. Anjeer aur castor oil ka sharbat ab ilaaj nahi samjha jata, halaan ke woh thore se qabz kasha zaroor hain aur na ab aap Brimstone and Treacle (gandhak aur gur ka sheera) kharidne ke liye chemist ke paas nahi jaate.

Lekin cod fish ke jigar ka tail ka shumar un adwiyaat mein se ek hai jo ab bhi apni afadiyat barqarar rakhe hue hain. Cod liver oil vitamin A aur D se bharpoor hota hai.
Cod liver oil: atharhwin sadi ki badboodar dawa jo kamzor haddiyon ke liye aaj bhi zaruri


Vitamins ki daryaaft se pehle logon ne dekha tha ke cod liver oil lene wale bachon mein rickets (haddiyon ke sookhepan) ki bimari paida hone ka imkaan kam tha.

Cod liver oil ke sehat ke jo bhi fawaid hon, woh ise lene walon ke liye hamesha ek napasandeeda aur badboodar hi cheez rahi hai.

Lekin cod liver oil ki ek chamach Britain ke sard mausam mein dhoop mein baith kar vitamin D hasil karne se beharhal asaan tareeqa tha.

Yeh ek aisi haqeeqat hai jo aaj bhi utni hi sach hai jitni 100 saal pehle thi aur agar Britain ke Department of Meteorology ki is peshgoi ko bhi samne rakh kar dekha jaye ke Britain mein 2070 tak mausam-e-sarma ki barishen 1990 ke muqable mein 30% zyada hongi, to cod liver oil ki afadiyat samjhi jaati hai.

Lihaza, dahaaiyon pehle bohot si hakoomaton ne khane pine ki ashya mein kuch ajza ki shamiliyat ko laazmi qarar diya. 1940 mein Britain ne margarine mein vitamin D ki shamiliyat ko laazmi qarar diya. Double roti, doodh aur cereals banane walon ne bhi aisa hi karna shuru kar diya.

America mein 1933 se doodh mein vitamin D ki mojoodgi ko laazmi qarar diya gaya. Yahan tak ke 21win sadi mein bhi hakoomaton ne khuraak mein vitamin D ki satah ko barhane ke liye policies tabdeel ki hain. Finland ne 2003 mein vitamin D ki khuraak mein shamiliyat ka ek mansooba mutaraf karwaya jis par tamam food manufacturers bhi mutafiq thay.

Lekin Britain mein vitamin D ki shamiliyat laazmi qarar dene ki koshishon ko us waqt dhachka laga jab hypercalcemia naam ki bimari ke cases samne aana shuru hue. Medical science se maloom hua ke khoon mein zyada calcium ki mojoodgi gurday mein pathri ka sabab banti hai.

Maahireen ka khayal tha ke bachon ko vitamin D zarurat se zyada diya ja raha hai. Phir 1950 mein margarine aur baby formula ke ilawa doosri ashya jaise cereals aur doodh mein vitamin D ki mojoodgi ki pabandi ko khatam kar diya gaya.

2013 mein Britain ne margarine mein bhi vitamin D ki mojoodgi ki shart ko bhi khatam kar diya aur logon ko vitamin D ke supplements istemal karne ki targhib di, jis par kam hi logon ne tawajjo di.
Cod liver oil: atharhwin sadi ki badboodar dawa jo kamzor haddiyon ke liye aaj bhi zaruri

Ab jab blood test mein bohot behtari aayi hai, kuch chonka dene wali maloomat samne aayi hain. Is mein ek yeh ke Britain mein January se March tak jab sard mausam apne urooj par hota hai aur sooraj kabhi kabhar hi numoodar hota hai, 40% bachay aur 30% baligh afrad vitamin D ki kami ka shikar hote hain.

Britain ke sard mausam mein ghair safed faam abadi, khas tor par South Asian nizaad shehrion mein vitamin D ki kami lazmi hai.

Is ke ilawa, bachon mein rickets (haddiyon ke sookhay ki bimari) phir wapas aa gayi hai. Britain mein 60 aur 70 ki dehai mein rickets ki bimari na hone ke barabar reh gayi thi.

Adad o shumaar ke mutabiq 1991 England mein 15 saal se kam umar ke har 1 lakh bachon mein sirf 0.34% rickets ke cases thay. Lekin 2000 ki dehai mein is mein izafa hona shuru hua aur rickets ke cases aasman ko choone lage. San 2011 mein science danon ne likha tha ke ‘England mein rickets ke mareezon ki hospital mein dakhil hone ki shirah guzashta paanch dehaiyon mein sabse zyada hai.’

Kya khuraak mein vitamin D ki laazmi shamiliyat ka waqt ho chuka hai?

Britain ki Scientific Advisory Committee baraye ghizaiyat is sawal par ghour kar rahi hai: ab yeh khayal kiya jata hai ke Britain mein hypercalcemia ke cases ek genetic bimari ki wajah se thay jo vitamin D ke jazb mein rukawat dalti hai. Shayad ek tabdeeli aanay wali hai.

Britain mein rickets ke barhne ke peeche mumkin tor par kai aamil hain. Lekin is se yeh ishara milta hai ke cod liver oil ki chamach jaisi koi cheez wapas aa sakti hai.

Read More:
Haqiqi khushi dolat se nahi milti: Nayi tahqiqat
Depression aur khudkushi par baat kyun nahi hoti?
Crédit :- BBC.COM/URDU